Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai aisa waqt ki KHud par karam kiya jae

Farooq Engineer

hai aisa waqt ki KHud par karam kiya jae

Farooq Engineer

MORE BYFarooq Engineer

    hai aisā vaqt ki ḳhud par karam kiyā jaa.e

    zarūratoñ ko zarā apnī kam kiyā jaa.e

    ho apnī āñkhoñ meñ har-dam vo ek chehra

    so apnī āñkhoñ pe aisā dam kiyā jaa.e

    qubūliyat sabab ek ye bhī ho shāyad

    duā ke vaqt meñ āñkhoñ ko nam kiyā jaa.e

    vo saath chhoḌ gayā to malāl kyā is

    bichhaḌ gayā jo kahīñ us ġham kiyā jaa.e

    kiyā hai ham ne zamāne ehtirām bahut

    kuchh apnī zaat ko ab mohtaram kiyā jaa.e

    ye dāstān-e-mohabbat to ḳhuub hai 'fārūq'

    koī fasāna lahū se raqam kiyā jaa.e

    hai aisa waqt ki KHud par karam kiya jae

    zaruraton ko zara apni kam kiya jae

    ho apni aankhon mein har-dam wo ek hi chehra

    so apni aankhon pe aisa hi dam kiya jae

    qubuliyat ka sabab ek ye bhi ho shayad

    dua ke waqt mein aankhon ko nam kiya jae

    wo sath chhoD gaya to malal kya is ka

    bichhaD gaya jo kahin us ka gham kiya jae

    kiya hai hum ne zamane ka ehtiram bahut

    kuchh apni zat ko ab mohtaram kiya jae

    ye dastan-e-mohabbat to KHub hai 'faruq'

    koi fasana lahu se raqam kiya jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now