Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai be-lab-o-zaban bhi ghul tere nam ka

Ismail Merathi

hai be-lab-o-zaban bhi ghul tere nam ka

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    hai be-lab-o-zabān bhī ġhul tere naam

    mahram nahīñ hai gosh magar is payām

    ḳhush hai malāmat ahl-e-ḳharābāt kai liye

    is silsile meñ naam nahīñ nañg-o-nām

    naḳhvat hai jis ke kāsa-e-sar meñ bharī hui

    kab mustahiq hai mahfil rindāñ meñ jaam

    jāgīr-e-dard par hameñ sarkār-e-ishq ne

    tahrīr kar diyā hai vasīqa davām

    vādī-e-ishq meñ na milā koī ham-safar

    sunte the naam ḳhizr alaihis-salām

    āsūdgī na DhūñD ki jaatā hai kārvāñ

    le musta.ār barq se vaqfa qayām

    kholā hai mujh pe sirr-e-haqīqat majāz ne

    ye puḳhtagī sila hai ḳhayālāt-e-ḳhām

    khātā nahīñ fareb-e-tamannā-e-do-jahāñ

    ḳhūgar nahīñ hai tausan-e-himmat lagām

    mat rakh tama.a se chashm-e-tamatto ki hai yahāñ

    daana har ek mardumak-e-dīda-dām

    pahuñchā diyā hudūd-e-do-ālam se bhī pare

    mutrib ne raag chheḌ diyā kis maqām

    zulmat meñ kyā tamīz safed-o-siyāh

    furqat meñ kuchh hisāb nahīñ sub.h-o-shām

    jis nazar hai san.at-e-abrū-nigār par

    hai vo qatīl-e-teġh na kushta niyām

    khāne ko ai harīs ġham-e-ishq kam nahīñ

    ye ho to kuchh bhī fikr na kar qarz-o-vām

    maiñ be-qarār-e-manzil-e-maqsūd be-nishāñ

    raste intihā na Thikānā maqām

    gar dekhiye to ḳhātir-e-nāshād shaad hai

    sach pūchhiye to hai dil-e-nākām kaam

    uTThe tirī naqāb to uTh jaa.e ek baar

    sab tafraqa ye roz-o-shab-o-sub.h-o-shām

    hai be-lab-o-zaban bhi ghul tere nam ka

    mahram nahin hai gosh magar is payam ka

    KHush hai malamat ahl-e-KHarabaat kai liye

    is silsile mein nam nahin nang-o-nam ka

    naKHwat hai jis ke kasa-e-sar mein bhari hui

    kab mustahiq hai mahfil rindan mein jam ka

    jagir-e-dard par hamein sarkar-e-ishq ne

    tahrir kar diya hai wasiqa dawam ka

    wadi-e-ishq mein na mila koi ham-safar

    sunte the nam KHizr alaihis-salam ka

    aasudgi na DhunD ki jata hai karwan

    le mustaar barq se waqfa qayam ka

    khola hai mujh pe sirr-e-haqiqat majaz ne

    ye puKHtagi sila hai KHayalat-e-KHam ka

    khata nahin fareb-e-tamanna-e-do-jahan

    KHugar nahin hai tausan-e-himmat lagam ka

    mat rakh tama se chashm-e-tamatto ki hai yahan

    dana har ek mardumak-e-dida-dam ka

    pahuncha diya hudud-e-do-alam se bhi pare

    mutrib ne rag chheD diya kis maqam ka

    zulmat mein kya tamiz safed-o-siyah ki

    furqat mein kuchh hisab nahin subh-o-sham ka

    jis ki nazar hai sanat-e-abru-nigar par

    hai wo qatil-e-tegh na kushta niyam ka

    khane ko ai haris gham-e-ishq kam nahin

    ye ho to kuchh bhi fikr na kar qarz-o-wam ka

    main be-qarar-e-manzil-e-maqsud be-nishan

    raste ki intiha na Thikana maqam ka

    gar dekhiye to KHatir-e-nashad shad hai

    sach puchhiye to hai dil-e-nakaam kaam ka

    uTThe teri naqab to uTh jae ek bar

    sab tafraqa ye roz-o-shab-o-subh-o-sham ka

    Source:

    Kulliyat-w-Hayat-e-Ismail Ba-Tasveer (Pg. ebook-466 page-278)

    • Author: Mohammad Aslam Saifi
      • Edition: 1939
      • Publisher: Dayal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1939
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now