Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai bhare daraKHton ke bawajud ban tanha

Mazhar Imam

hai bhare daraKHton ke bawajud ban tanha

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    hai bhare daraḳhtoñ ke bāvajūd ban tanhā

    roz-o-shab ke hañgāme phir bhī anjuman tanhā

    ratjagoñ ke vo sāthī kis jahāñ meñ baste haiñ

    kyā hamīñ tak aa.egī sub.h kiran tanhā

    zulf hasīñ rāteñ kis pe saya-afgan haiñ

    mere ghar tak aa.ī hai bū-e-yāsaman tanhā

    terī yaad ne uTh kar mujh se kal ye pūchhā thā

    apne ġham ke sahrā meñ sakoge tan-tanhā

    kuchh kamī na thī dil kūcha-e-mohabbat meñ

    ek ham aa.e the le ke jān-o-tan tanhā

    haa.e ye shab-e-vā'da dil haal kyā kahiye

    hajla-e-urūsī meñ jis tarah dulhan tanhā

    thī ḳhudā shirkat bhī varna bojh nafrat

    kis tarah uThā paa.e shaiḳh-o-barhaman tanhā

    hai bhare daraKHton ke bawajud ban tanha

    roz-o-shab ke hangame phir bhi anjuman tanha

    ratjagon ke wo sathi kis jahan mein baste hain

    kya hamin tak aaegi subh ki kiran tanha

    zulf ki hasin raaten kis pe saya-afgan hain

    mere ghar tak aai hai bu-e-yasaman tanha

    teri yaad ne uTh kar mujh se kal ye puchha tha

    apne gham ke sahra mein ja sakoge tan-tanha

    kuchh kami na thi dil ki kucha-e-mohabbat mein

    ek hum hi aae the le ke jaan-o-tan tanha

    hae ye shab-e-wa'da dil ka haal kya kahiye

    hajla-e-urusi mein jis tarah dulhan tanha

    thi KHuda ki shirkat bhi warna bojh nafrat ka

    kis tarah uTha pae shaiKH-o-barhaman tanha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now