Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai dukan-e-shauq bhari hui koi mehrban ho to le ke aa

Sajjad Baqar Rizvi

hai dukan-e-shauq bhari hui koi mehrban ho to le ke aa

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

    hai dukān-e-shauq bharī huī koī mehrbāñ ho to le ke aa

    zar dāġh-e-dil savāl hai koī naqd-e-jāñ ho to le ke aa

    rahī ye fazā to jiyeñge kyā koī ab binā-e-digar uThā

    koī ho zamīñ to nikāl use koī āsmāñ ho to le ke aa

    jo ho zauq-e-dard ye samāñ to uchhāl de koī āsmāñ

    tire dāġh-e-dil mah-o-mehr meñ kahīñ kahkashāñ ho to le ke aa

    ye hai shaam mausam-e-dard ye hai sub.h chehra-e-zard

    hai bahār par ġham-e-zindagī koī dil-ḳhizāñ ho to le ke aa

    ye safar hai manzil-e-shauq koī ham-safar koī ham-rahī

    kisī dil-shikasta ko saath le koī sargirāñ ho to le ke aa

    yūñhī apne aap se guftugū jo rahī to phir na rahegā

    koī ham-ḳhayāl talāsh kar koī ham-zabāñ ho to le ke aa

    zarā ḳhud se 'bāqar'-e-be-navā nikal ki tai ho mo.āmla

    inheñ mil ye log haiñ ahl-e-dil ġham-e-rā.egāñ ho to le ke aa

    hai dukan-e-shauq bhari hui koi mehrban ho to le ke aa

    zar dagh-e-dil ka sawal hai koi naqd-e-jaan ho to le ke aa

    rahi ye faza to jiyenge kya koi ab bina-e-digar uTha

    koi ho zamin to nikal use koi aasman ho to le ke aa

    jo ho zauq-e-dard ka ye saman to uchhaal de koi aasman

    tere dagh-e-dil mah-o-mehr mein kahin kahkashan ho to le ke aa

    ye hai sham mausam-e-dard ki ye hai subh chehra-e-zard ki

    hai bahaar par gham-e-zindagi koi dil-KHizan ho to le ke aa

    ye safar hai manzil-e-shauq ka koi ham-safar koi ham-rahi

    kisi dil-shikasta ko sath le koi sargiran ho to le ke aa

    yunhi apne aap se guftugu jo rahi to phir na rahega tu

    koi ham-KHayal talash kar koi ham-zaban ho to le ke aa

    zara KHud se 'baqar'-e-be-nawa tu nikal ki tai ho moamla

    inhen mil ye log hain ahl-e-dil gham-e-raegan ho to le ke aa

    Source:

    Kulliyat-e-Baqir (Pg. 247)

    • Author: Sajjad Baqir Rizvi
      • Edition: 2010
      • Publisher: Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now