Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai gham ki dhup kaDi thoDi dur sath chalo

Shafeeq Parween

hai gham ki dhup kaDi thoDi dur sath chalo

Shafeeq Parween

MORE BYShafeeq Parween

    hai ġham dhuup kaḌī thoḌī duur saath chalo

    ki do qadam sahī thoḌī duur saath chalo

    kabhī na ḳhatm hoñ kahtā hai kaun ye duurī

    kaThin safar sahī thoḌī duur saath chalo

    chalo ki dāman-e-dil meñ sameT leñ yādeñ

    nigāh dhuñdlī sahī thoḌī duur saath chalo

    rivāyatoñ ke añdheroñ meñ bhaTkeñ kab tak ham

    dishā.eñ DhūñDeñ na.ī thoḌī duur saath chalo

    chalo 'shafīq' ke sajda kar leñ nazroñ

    phir āñkheñ nam sahī thoḌī duur saath chalo

    hai gham ki dhup kaDi thoDi dur sath chalo

    ki do qadam hi sahi thoDi dur sath chalo

    kabhi na KHatm hon kahta hai kaun ye duri

    kaThin safar hi sahi thoDi dur sath chalo

    chalo ki daman-e-dil mein sameT len yaaden

    nigah dhundli sahi thoDi dur sath chalo

    riwayaton ke andheron mein bhaTken kab tak hum

    dishaen DhunDen nai thoDi dur sath chalo

    chalo 'shafiq' ke sajda hi kar len nazron ka

    phir aankhen nam hi sahi thoDi dur sath chalo

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now