Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai husn ka eajaz ki eajaz-e-nazar kya

Rabia Barni

hai husn ka eajaz ki eajaz-e-nazar kya

Rabia Barni

MORE BYRabia Barni

    hai husn e.ajāz ki e.ajāz-e-nazar kyā

    āñkhoñ meñ haiñ poshīda tire la.al-o-gohar kyā

    ashkoñ ke sitāre kajī yādoñ ke sharar haiñ

    ab un ke sivā aur nahīñ shām-o-sahar kyā

    phir arsa-e-mahtāb hai shab-ḳhūñ kahānī

    kirnoñ sināneñ haiñ ki haiñ tār-e-jigar kyā

    ye raat ye mahtāb ye ḳhushbū ye tarannum

    aks-e-ġham-e-jānāñ bhī hai taskīn asar kyā

    ham kis se kaheñ qissa-e-mahrūmī-e-bulbul

    dushman hai gulistān saarā gul-e-tar kyā

    jis dard dāman tirī palkoñ se bañdhā ho

    us dard ho saktī hai tadbīr digar kyā

    har marhala-e-saḳht mire shauq manzil

    manzil pe pahuñchnā hai ḳhatar kyā hai hazar kyā

    phir dil pe barastī hai tire pyaar shabnam

    ab ḳhauf-e-bad-andeshī-e-ḳhurshed-e-sahar kyā

    ik dhuñd chhā.ī hai sar-e-jāda-e-ummīd

    har gaam pe lā.eñge na.ī sham-e-nazar kyā

    tajdīd-e-tamannā bhī hai vāmāndagi-e-shauq

    phir qāfila luTtā hai sar-e-rāhguzar kyā

    mahfil meñ ye kaun aayā ki bujhne lagīñ sham.eñ

    lo shaam se paidā hue āsār-e-sahar kyā

    hai husn ka eajaz ki eajaz-e-nazar kya

    aankhon mein hain poshida tere lal-o-gohar kya

    ashkon ke sitare kaji yaadon ke sharar hain

    ab un ke siwa aur nahin sham-o-sahar kya

    phir arsa-e-mahtab hai shab-KHun ki kahani

    kirnon ki sinanen hain ki hain tar-e-jigar kya

    ye raat ye mahtab ye KHushbu ye tarannum

    aks-e-gham-e-jaanan bhi hai taskin asar kya

    hum kis se kahen qissa-e-mahrumi-e-bulbul

    dushman hai gulistan hi sara gul-e-tar kya

    jis dard ka daman teri palkon se bandha ho

    us dard ki ho sakti hai tadbir digar kya

    har marhala-e-saKHt mere shauq ki manzil

    manzil pe pahunchna hai KHatar kya hai hazar kya

    phir dil pe barasti hai tere pyar ki shabnam

    ab KHauf-e-bad-andeshi-e-KHurshed-e-sahar kya

    ek dhund si chhai hai sar-e-jada-e-ummid

    har gam pe laenge nai sham-e-nazar kya

    tajdid-e-tamanna bhi hai wamandagi-e-shauq

    phir qafila luTta hai sar-e-rahguzar kya

    mahfil mein ye kaun aaya ki bujhne lagin shamen

    lo sham se paida hue aasar-e-sahar kya

    Source:

    Parwaz-e-Shauq (Pg. 48)

    • Author: Rabia Barni
      • Publisher: Hasan Publishers & Book Promoters, Hyderabad
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now