Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai intizar faqat phir bahaar aane ka

Rasheed Hasrat

hai intizar faqat phir bahaar aane ka

Rasheed Hasrat

MORE BYRasheed Hasrat

    hai intizār faqat phir bahār aane

    pata lagā.egā sayyād āshiyāne

    bulāyā bazm meñ phir āñkh-bhar nahīñ dekhā

    malāl kyā mire māyūs lauT jaane

    marā jo gaañv meñ fāqoñ se us so.em hai

    kiyā hai miir ne ye intizām khāne

    badal gayā huuñ ki hālāt taqāza thā

    javāz koī nahīñ paas tere aane

    huā huuñ duur jo apnoñ se sar pe ban aa.ī

    baḌā junūn thā pardes meñ kamāne

    girānī hoñToñ muskān le uḌī yaaro

    bahāna DhūñD ke laayā huuñ muskurāne

    paḌā hai auñdhā mohabbat shahsavār thā jo

    baḌā thā shauq use baḳht āzmāne

    kahā-sunā jo kabhī tum muaaf kar denā

    ḳhayāl dil se nikālā hai tum ko paane

    kabhī to bin-kahe bhī baat maan letā thā

    'rashīd' gur use aayā hai ab satāne

    hai intizar faqat phir bahaar aane ka

    pata lagaega sayyaad aashiyane ka

    bulaya bazm mein phir aankh-bhar nahin dekha

    malal kya mere mayus lauT jaane ka

    mara jo ganw mein faqon se us ka soem hai

    kiya hai mir ne ye intizam khane ka

    badal gaya hun ki haalat ka taqaza tha

    jawaz koi nahin pas tere aane ka

    hua hun dur jo apnon se sar pe ban aai

    baDa junun tha pardes mein kamane ka

    girani honTon ki muskan le uDi yaro

    bahana DhunD ke laya hun muskurane ka

    paDa hai aundha mohabbat ka shahsawar tha jo

    baDa tha shauq use baKHt aazmane ka

    kaha-suna jo kabhi tum muaf kar dena

    KHayal dil se nikala hai tum ko pane ka

    kabhi to bin-kahe bhi baat man leta tha

    'rashid' gur use aaya hai ab satane ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now