Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai jo KHamosh but-e-hosh-ruba mere baad

Fazal Husain Sabir

hai jo KHamosh but-e-hosh-ruba mere baad

Fazal Husain Sabir

MORE BYFazal Husain Sabir

    hai jo ḳhāmosh but-e-hosh-rubā mere baad

    gul khilā.egā koī aur nayā mere baad

    jafāoñ se jo badnām kiye jaatā hai

    yaad aa.egī tujhe merī vafā mere baad

    koī shikva ho sitamgār to zāhir kar de

    phir na karnā kabhī koī gila mere baad

    ibrat-añgez hai afsāna mire marne

    ruk ga.e haiñ qadam-e-umr-e-baqā mere baad

    zamzame ḳhāna-e-sayyād ke kyuuñ gūñjte haiñ

    kyā koī taaza giraftār huā mere baad

    sar ke bal ishq manzil ko kiyā tai maiñ ne

    nahīñ milte jo nishān-e-kaf-e-pā mere baad

    'sābir'-e-ḳhasta ko har haal meñ rab rakh shaad

    kahīñ aisā na ho ho sabr fanā mere baad

    hai jo KHamosh but-e-hosh-ruba mere baad

    gul khilaega koi aur naya mere baad

    tu jafaon se jo badnam kiye jata hai

    yaad aaegi tujhe meri wafa mere baad

    koi shikwa ho sitamgar to zahir kar de

    phir na karna tu kabhi koi gila mere baad

    ibrat-angez hai afsana mere marne ka

    ruk gae hain qadam-e-umr-e-baqa mere baad

    zamzame KHana-e-sayyaad ke kyun gunjte hain

    kya koi taza giraftar hua mere baad

    sar ke bal ishq ki manzil ko kiya tai main ne

    nahin milte jo nishan-e-kaf-e-pa mere baad

    'sabir'-e-KHasta ko har haal mein ya rab rakh shad

    kahin aisa na ho ho sabr fana mere baad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now