Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai jo kuchh pas apne sab liye sarkar baiThe hain

Kuldeep Salil

hai jo kuchh pas apne sab liye sarkar baiThe hain

Kuldeep Salil

MORE BYKuldeep Salil

    hai jo kuchh paas apne sab liye sarkār baiThe haiñ

    jo chāheñ aap le jaa.eñ sar-e-bāzār baiThe haiñ

    manāo jashn manzil par pahuñch jaane tum lekin

    ḳhabar un bhī lo yaaro jo himmat haar baiThe haiñ

    ab us shahr bhī kar sukūñ pā.egā kyā āḳhir

    vahāñ bhī kaun se ai dil tire ġham-ḳhvār baiThe haiñ

    na aayā na yaad aa.ī tirī ik lambe arse se

    hazāroñ kaam hone par bhī ham be-kār baiThe haiñ

    inhīñ se naam hai terā na bhuul itnā ai ye saaqī

    tire maiḳhāne meñ ab bhī kuchh ik ḳhuddār baiThe haiñ

    ga.e vo vaqt kahte the ki itne dost haiñ apne

    muqaddar jāniye achchhā agar do-chār baiThe haiñ

    kisī bhī vaqt aa saktā hai ab paiġhām bas us

    sunā jis vaqt se ham ne 'salīl' tayyār baiThe haiñ

    hai jo kuchh pas apne sab liye sarkar baiThe hain

    jo chahen aap le jaen sar-e-bazar baiThe hain

    manao jashn manzil par pahunch jaane ka tum lekin

    KHabar un ki bhi lo yaro jo himmat haar baiThe hain

    tu ab us shahr bhi ja kar sukun paega kya aaKHir

    wahan bhi kaun se ai dil tere gham-KHwar baiThe hain

    na tu aaya na yaad aai teri ek lambe arse se

    hazaron kaam hone par bhi hum be-kar baiThe hain

    inhin se nam hai tera na bhul itna ai ye saqi

    tere maiKHane mein ab bhi kuchh ek KHuddar baiThe hain

    gae wo waqt kahte the ki itne dost hain apne

    muqaddar jaaniye achchha agar do-chaar baiThe hain

    kisi bhi waqt aa sakta hai ab paigham bas us ka

    suna jis waqt se hum ne 'salil' tayyar baiThe hain

    Source:

    Dhoop Ke Saye Mein (Pg. 35)

    • Author: Kuldeep Salil
      • Publisher: Hind Pocket Books, Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now