Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai jurm mohabbat to saza kyun nahin dete

Sajid Siddiqi lakhnavi

hai jurm mohabbat to saza kyun nahin dete

Sajid Siddiqi lakhnavi

MORE BYSajid Siddiqi lakhnavi

    hai jurm mohabbat to sazā kyuuñ nahīñ dete

    yaaro hameñ ik roz miTā kyuuñ nahīñ dete

    ham raah meñ dīvār mānind khaḌe haiñ

    dīvār ko Thokar se girā kyuuñ nahīñ dete

    maiḳhāne ke ādāb se vāqif jo nahīñ ham

    mahfil se hameñ apnī uThā kyuuñ nahīñ dete

    jab ham ne lagāyā thā gale se tumheñ apne

    us daur tārīḳh bhulā kyuuñ nahīñ dete

    mash.hūr-e-zamāna jo hai sachchā.ī hamārī

    phir tum hameñ suulī pe chaḌhā kyuuñ nahīñ dete

    ai rāhbaro ka.aba-o-kāshī ko milā kar

    maiḳhāne ik raah banā kyuuñ nahīñ dete

    jin logoñ ko da.avā hai masīhā.ī 'sājid'

    vo log hameñ zahr pilā kyuuñ nahīñ dete

    hai jurm mohabbat to saza kyun nahin dete

    yaro hamein ek roz miTa kyun nahin dete

    hum rah mein diwar ki manind khaDe hain

    diwar ko Thokar se gira kyun nahin dete

    maiKHane ke aadab se waqif jo nahin hum

    mahfil se hamein apni uTha kyun nahin dete

    jab hum ne lagaya tha gale se tumhein apne

    us daur ki tariKH bhula kyun nahin dete

    mashhur-e-zamana jo hai sachchai hamari

    phir tum hamein suli pe chaDha kyun nahin dete

    ai rahbaro kaba-o-kashi ko mila kar

    maiKHane ki ek rah bana kyun nahin dete

    jin logon ko dawa hai masihai ka 'sajid'

    wo log hamein zahr pila kyun nahin dete

    Source:

    Aaina-e-Ghazal (Pg. 32)

    • Author: Sajid Siddiqi lakhnavi
      • Edition: 1973
      • Publisher: Sajid Siddiqi lakhnavi
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now