Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai karwan ka shor sar-e-rahguzar uTha

Wajahat Ali Sandailvi

hai karwan ka shor sar-e-rahguzar uTha

Wajahat Ali Sandailvi

MORE BYWajahat Ali Sandailvi

    hai kārvāñ shor sar-e-rahguzar uThā

    jaanā hai gar tujhe bhī to raḳht-e-safar uThā

    tārīkiyoñ meñ vaqt raqs-e-sharar uThā

    ḳhāmosh farsh-e-āb pe bhī lahar uThā

    shabnam haqīr tere liye hai shuā-e-mehr

    laale ke dast-e-nāz se phir kyoñ guhar uThā

    ḳhīra hai aañkh terī yahāñ zulmatoñ se kyoñ

    niklā hai āftāb zarā nazar uThā

    gardish hai mehr-o-māh zanjīr ban ga.ī

    baḌh kar aaj parda-e-shām-o-sahar uThā

    nākāmiyoñ se Dartī haiñ himmat pastiyāñ

    zarroñ pe kyoñ nazar hai baḌh kar guhar uThā

    saa.e se apne kis liye Dartā hai is qadar

    koī nahīñ hai teġh zarā apnā sar uThā

    apnī fuġhāñ bhī ai lab-e-ḳhāmosh kar buland

    saare jahāñ meñ kaisā hai ye shor-o-shar uThā

    piite raheñge ḳhūn-e-tamannā kab talak

    ab mai-kade meñ jaam ba-tarz-e-digar uThā

    nazreñ ye kis se vaqt ke aamir ne pher liiñ

    neze pe aaj dekhiye kis ye sar uThā

    hai karwan ka shor sar-e-rahguzar uTha

    jaana hai gar tujhe bhi to raKHt-e-safar uTha

    tarikiyon mein waqt ki raqs-e-sharar uTha

    KHamosh farsh-e-ab pe tu bhi lahar uTha

    shabnam haqir tere liye hai shua-e-mehr

    lale ke dast-e-naz se phir kyon guhar uTha

    KHira hai aankh teri yahan zulmaton se kyon

    nikla hai aaftab zara tu nazar uTha

    gardish hai mehr-o-mah ki zanjir ban gai

    baDh kar tu aaj parda-e-sham-o-sahar uTha

    nakaamiyon se Darti hain himmat ki pastiyan

    zarron pe kyon nazar hai tu baDh kar guhar uTha

    sae se apne kis liye Darta hai is qadar

    koi nahin hai tegh zara apna sar uTha

    apni fughan bhi ai lab-e-KHamosh kar buland

    sare jahan mein kaisa hai ye shor-o-shar uTha

    pite rahenge KHun-e-tamanna hi kab talak

    ab mai-kade mein jam ba-tarz-e-digar uTha

    nazren ye kis se waqt ke aamir ne pher lin

    neze pe aaj dekhiye kis ka ye sar uTha

    Source:

    Roshni (Pg. 49)

    • Author: Wajahat Ali Sandailvi
      • Publisher: Wajahat Ali Sandailvi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now