Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai kaun shai jis ki zid nahin hai jahan KHushi hai malal bhi hai

Munawar Khan Ghafil

hai kaun shai jis ki zid nahin hai jahan KHushi hai malal bhi hai

Munawar Khan Ghafil

MORE BYMunawar Khan Ghafil

    hai kaun shai jis zid nahīñ hai jahāñ ḳhushī hai malāl bhī hai

    ġham-e-judā.ī na khā ai dil firāq hai to visāl bhī hai

    jo Tiika sandal hai jabīñ par to paas abrū ḳhaal bhī hai

    sip.har-e-ḳhūbī ye maah bhī hai sabīl bhī hai hilāl bhī hai

    misāl durr-e-najaf se kyā duuñ ezār-sāda ko us parī ke

    nahīñ hai baal us meñ naam ko bhī ye aib hai is meñ baal bhī hai

    ḳhudā jaane ki kis ravish se kiyā thā murġh-e-chaman ne naala

    paḌī hai ġhunche chiiñ jabīñ par to rañg chehre laal bhī hai

    hai kaun shai jis ki zid nahin hai jahan KHushi hai malal bhi hai

    gham-e-judai na kha tu ai dil firaq hai to visal bhi hai

    jo Tika sandal ka hai jabin par to pas abru ki KHal bhi hai

    siphar-e-KHubi ye mah bhi hai sabil bhi hai hilal bhi hai

    misal durr-e-najaf se kya dun ezar-sada ko us pari ke

    nahin hai baal us mein nam ko bhi ye aib hai is mein baal bhi hai

    KHuda hi jaane ki kis rawish se kiya tha murgh-e-chaman ne nala

    paDi hai ghunche ki chin jabin par to rang chehre ka lal bhi hai

    Source:

    Deewan-e-Ghafil (Pg. 81)

    • Author: Munawar Khan Ghafil
      • Edition: 1872
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1872
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now