Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai mashaqqat meri inam kisi aur ka hai

Hamdam Kashmiri

hai mashaqqat meri inam kisi aur ka hai

Hamdam Kashmiri

MORE BYHamdam Kashmiri

    hai mashaqqat mirī in.aam kisī aur hai

    kaam merā hai magar naam kisī aur hai

    dhuup thī saath jo din bhar vo kisī aur thī

    kyā dhuñdlakā bhī sar-e-shām kisī aur hai

    sar pe rahtā hai hamesha kisī saayā

    merī dīvār pe ye baam kisī aur hai

    maiñ to ḳhud apne nashshe meñ huuñ sarshār bahut

    haath meñ hai jo mire jaam kisī aur hai

    jaane ye kaun dhaḌaktā hai mire siine meñ

    mere hoñToñ pe ravāñ naam kisī aur hai

    haif apne liye kuchh kar na sakā mar kar bhī

    laash merī hai to kohrām kisī aur hai

    merā har saañs bhī ḳhud merā nahīñ hai 'hamdam'

    ye badan aur ye ehrām kisī aur hai

    hai mashaqqat meri inam kisi aur ka hai

    kaam mera hai magar nam kisi aur ka hai

    dhup thi sath jo din bhar wo kisi aur ki thi

    kya dhundlaka bhi sar-e-sham kisi aur ka hai

    sar pe rahta hai hamesha hi kisi ka saya

    meri diwar pe ye baam kisi aur ka hai

    main to KHud apne hi nashshe mein hun sarshaar bahut

    hath mein hai jo mere jam kisi aur ka hai

    jaane ye kaun dhaDakta hai mere sine mein

    mere honTon pe rawan nam kisi aur ka hai

    haif apne liye kuchh kar na saka mar kar bhi

    lash meri hai to kohram kisi aur ka hai

    mera har sans bhi KHud mera nahin hai 'hamdam'

    ye badan aur ye ehram kisi aur ka hai

    Source:

    Waraq-e-saadah (Gazals) (Pg. 107)

    • Author: Hamdam Kashmiri
      • Edition: 2012
      • Publisher: Hamdam Kashmiri, Khan Mahel, Shrinagar
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now