Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai mauj-e-reg-e-rawan ki bahaar sahra mein

Shiv Om Misra Anvar

hai mauj-e-reg-e-rawan ki bahaar sahra mein

Shiv Om Misra Anvar

MORE BYShiv Om Misra Anvar

    hai mauj-e-reg-e-ravāñ bahār sahrā meñ

    sukūt phailā hai is be-kanār sahrā meñ

    tirī ḳharābī to tā'mīr meñ muzmir hai

    guloñ ke badle mile haiñ jo ḳhaar sahrā meñ

    bichhaḌ ga.ī hai kahāñ mere qais lailā

    lagā.e maiñ ne ka.ī ishtihār sahrā meñ

    mire junūñ dulhan to sañvar ke baiThī hai

    chalo na Dolī uThā ke kahār sahrā meñ

    vahāñ pe daal ḳhirad to gal nahīñ saktī

    kabhī na jaa.e koī hoshiyār sahrā meñ

    shikār karne ke apne usuul qaa.em rakh

    rahegā jalva tirā barqarār sahrā meñ

    sañbhāl ḳhud ko ai jashn-e-nau-bahār na ro

    kahāñ rahā hai mirā iḳhtiyār sahrā meñ

    hai mauj-e-reg-e-rawan ki bahaar sahra mein

    sukut phaila hai is be-kanar sahra mein

    teri KHarabi to ta'mir mein hi muzmir hai

    gulon ke badle mile hain jo KHar sahra mein

    bichhaD gai hai kahan mere qais ki laila

    lagae main ne kai ishtihaar sahra mein

    mere junun ki dulhan to sanwar ke baiThi hai

    chalo na Doli uTha ke kahaar sahra mein

    wahan pe dal KHirad ki to gal nahin sakti

    kabhi na jae koi hoshiyar sahra mein

    shikar karne ke apne usul qaem rakh

    rahega jalwa tera barqarar sahra mein

    sanbhaal KHud ko tu ai jashn-e-nau-bahaar na ro

    kahan raha hai mera iKHtiyar sahra mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now