Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai mere gird yaqinan kahin hisar sa kuchh

Husain Taj Rizvi

hai mere gird yaqinan kahin hisar sa kuchh

Husain Taj Rizvi

MORE BYHusain Taj Rizvi

    hai mere gird yaqīnan kahīñ hisār kuchh

    aur us ko bhī hai du'āoñ pe e'tibār kuchh

    kahīñ to gosha-e-dil meñ umiid baaqī hai

    kahīñ hai us nazar meñ bhī intizār kuchh

    kahā jab us ne ke āñkhoñ pe e'tibār na kar

    to maiñ ne maañg liyā dil pe iḳhtiyār kuchh

    ye saarā khel faqat gardishoñ hai āhang

    fuzūl DhūñD rahe ho yahāñ qarār kuchh

    jo le ke aayā thā sailāb ḳhushbūoñ kabhī

    vo bhar gayā hai mirī aañkh meñ ġhubār kuchh

    utar chukā hai badan se tamām nasha-e-vasl

    chaḌhā chaḌhā tabī'at pe hai ḳhumār kuchh

    sunā hai ye bhī buzurgī ik 'alāmat hai

    so maiñ bhī hone lagā 'tāj' ḳhāksār kuchh

    hai mere gird yaqinan kahin hisar sa kuchh

    aur us ko bhi hai du'aon pe e'tibar sa kuchh

    kahin to gosha-e-dil mein umid baqi hai

    kahin hai us ki nazar mein bhi intizar sa kuchh

    kaha jab us ne ke aankhon pe e'tibar na kar

    to main ne mang liya dil pe iKHtiyar sa kuchh

    ye sara khel faqat gardishon ka hai aahang

    fuzul DhunD rahe ho yahan qarar sa kuchh

    jo le ke aaya tha sailab KHushbuon ka kabhi

    wo bhar gaya hai meri aankh mein ghubar sa kuchh

    utar chuka hai badan se tamam nasha-e-wasl

    chaDha chaDha sa tabi'at pe hai KHumar sa kuchh

    suna hai ye bhi buzurgi ki ek 'alamat hai

    so main bhi hone laga 'taj' KHaksar sa kuchh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now