hai mustaqil yahi ehsas kuchh kami si hai
hai mustaqil yahī ehsās kuchh kamī sī hai
talāsh meñ hai nazar dil ko be-kalī sī hai
kisī bhī kaam meñ lagtā nahīñ hai dil merā
baḌe dinoñ se tabī'at bujhī bujhī sī hai
baḌī 'ajīb udāsī hai muskurātā huuñ
jo āj-kal mirī hālat hai shā'irī sī hai
guzar rahe haiñ shab-o-roz be-sabab mere
ye zindagī to nahīñ sirf zindagī sī hai
thakī to ek mohabbat ne muuñd lī āñkheñ
har ek niiñd se ab merī dushmanī sī hai
tire baġhair kahāñ hai sukūn kyā ārām
kahīñ rahūñ mirī taklīf be-gharī sī hai
nahīñ vo sham'-e-mohabbat rahī to phir 'āsim'
ye kis du'ā se mire ghar meñ raushnī sī hai
hai mustaqil yahi ehsas kuchh kami si hai
talash mein hai nazar dil ko be-kali si hai
kisi bhi kaam mein lagta nahin hai dil mera
baDe dinon se tabi'at bujhi bujhi si hai
baDi 'ajib udasi hai muskuraata hun
jo aaj-kal meri haalat hai sha'iri si hai
guzar rahe hain shab-o-roz be-sabab mere
ye zindagi to nahin sirf zindagi si hai
thaki to ek mohabbat ne mund li aankhen
har ek nind se ab meri dushmani si hai
tere baghair kahan hai sukun kya aaram
kahin rahun meri taklif be-ghari si hai
nahin wo sham'-e-mohabbat rahi to phir 'asim'
ye kis du'a se mere ghar mein raushni si hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 54)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.