Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai qissa muKHtasar mere safar ka

Premi Romani

hai qissa muKHtasar mere safar ka

Premi Romani

MORE BYPremi Romani

    hai qissa muḳhtasar mere safar

    na paanī hai na saaya hai shajar

    nahīñ hai jis pe terā naqsh-e-pā tak

    bharosa kyā hai aisī zindagī

    chalā huuñ jānib-e-manzil meñ lekin

    nahīñ nām-o-nishāñ tak rahguzar

    ḳhayāl-e-yār meñ gum ho gayā huuñ

    pata maiñ kis se pūchhūñ apne ghar

    nahīñ sahbā azmat se maiñ munkir

    ye nasha hai magar hai raat bhar

    zamāne bhar meñ rusvā ho gayā huuñ

    karishma hai ye bas terī nazar

    'premī' jab bhī jalva-gar vo hogā

    badal jā.egā manzar bām-o-dar

    hai qissa muKHtasar mere safar ka

    na pani hai na saya hai shajar ka

    nahin hai jis pe tera naqsh-e-pa tak

    bharosa kya hai aisi zindagi ka

    chala hun jaanib-e-manzil mein lekin

    nahin nam-o-nishan tak rahguzar ka

    KHayal-e-yar mein gum ho gaya hun

    pata main kis se puchhun apne ghar ka

    nahin sahba ki azmat se main munkir

    ye nasha hai magar hai raat bhar ka

    zamane bhar mein ruswa ho gaya hun

    karishma hai ye bas teri nazar ka

    'premi' jab bhi jalwa-gar wo hoga

    badal jaega manzar baam-o-dar ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now