hai ruh yaKH-basta ek jauhar libas-e-hasti utarna kya
hai ruuh yaḳh-basta ek jauhar libās-e-hastī utārnā kyā
badan kī nā-bāliġhī salāmat lahū kī garmī ko mārnā kyā
ba-faiz-e-taqdīr apne ajdād hī kā ham dūsrā janam haiñ
jo zindagī ḳhud guzar rahī ho to zindagī ko guzārnā kyā
shab-e-malāmat kī roī āñkho tumhāre ashkoñ ke motiyoñ meñ
jo aab lau de rahī hai us ko parā.e jalvoñ pe vārnā kyā
maiñ raushnī se latīf-tar huuñ magar 'anāsir kī qaid meñ huuñ
abhī mire dil ke but-kade meñ nuqūsh-e-vahdat ubhārnā kyā
mire chaman se bahār kā āḳhirī parinda bhī uḌ chukā hai
bahār hī jab na jiit paa.ī to merā patjhaḌ se hārnā kyā
maiñ ḳhud mudāvā huuñ apnī tanhā.iyoñ kā is hujra-e-balā meñ
purānī yādoñ ke lashkaroñ ko madad kī ḳhātir pukārnā kyā
qadīm jazboñ ke bar meñ 'tālib' jadīd lafzoñ kā pairahan hai
na.e taḳhayyul ko bāñdhnā kyā ġhazal ke gesū sañvārnā kyā
hai ruh yaKH-basta ek jauhar libas-e-hasti utarna kya
badan ki na-baalighi salamat lahu ki garmi ko marna kya
ba-faiz-e-taqdir apne ajdad hi ka hum dusra janam hain
jo zindagi KHud guzar rahi ho to zindagi ko guzarna kya
shab-e-malamat ki roi aankho tumhaare ashkon ke motiyon mein
jo aab lau de rahi hai us ko parae jalwon pe warna kya
main raushni se latif-tar hun magar 'anasir ki qaid mein hun
abhi mere dil ke but-kade mein nuqush-e-wahdat ubhaarna kya
mere chaman se bahaar ka aaKHiri parinda bhi uD chuka hai
bahaar hi jab na jit pai to mera patjhaD se haarna kya
main KHud mudawa hun apni tanhaiyon ka is hujra-e-bala mein
purani yaadon ke lashkaron ko madad ki KHatir pukarna kya
qadim jazbon ke bar mein 'talib' jadid lafzon ka pairahan hai
nae taKHayyul ko bandhna kya ghazal ke gesu sanwarna kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.