Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai sara lams ka fitna hawas pagal hain

Kazim Husain Kazim

hai sara lams ka fitna hawas pagal hain

Kazim Husain Kazim

MORE BYKazim Husain Kazim

    hai saarā lams fitna havās pāgal haiñ

    ḳhudā shukr ki chehra-shanās pāgal haiñ

    tumhāre shahr meñ pāgal vo haiñ jo hañste haiñ

    hamāre shahr meñ saare udaas pāgal haiñ

    vo mujh meñ paanī piyegī nahīñ nahīñ mujh meñ

    jhagaḌ rahe haiñ musalsal gilās pāgal haiñ

    shu.ūr vaale golī chalānā jānte haiñ

    maiñ mutma.in huuñ mire ās-pās pāgal haiñ

    mujhe samajhne manzil hai muntazir un

    yaqīnī baat hai pāgal aas pāgal haiñ

    maiñ un se pūchhūñgā jannat haiñ bechte kaise

    mujhe navāz agar tere paas pāgal haiñ

    vo apnī sadiyoñ ko tishna-dahan banā.e ga.e

    bujhā rahe haiñ jo lamhoñ pyaas pāgal haiñ

    hamārī vaqt se bantī to kis tarah bantī

    mizāj-e-vaqt ko aate raas pāgal haiñ

    tumhāre ba.ad siyānoñ haal kyā hogā

    tumhāre ba.ad yahāñ par udaas pāgal haiñ

    libās vāloñ se baḌh kar hayā hai āñkhoñ meñ

    hamārī āñkhoñ meñ kuchh be-libās pāgal haiñ

    tujhe satā.eñge jab tak tirī razā hogī

    ham har tarah se tabī.at-shanās pāgal haiñ

    tumhāre ahd ke sau se haiñ mohtaram 'kāzim'

    hamāre ahd meñ jo ki pachās pāgal haiñ

    hai sara lams ka fitna hawas pagal hain

    KHuda ka shukr ki chehra-shanas pagal hain

    tumhaare shahr mein pagal wo hain jo hanste hain

    hamare shahr mein sare udas pagal hain

    wo mujh mein pani piyegi nahin nahin mujh mein

    jhagaD rahe hain musalsal gilas pagal hain

    shuur wale hi goli chalana jaante hain

    main mutmain hun mere aas-pas pagal hain

    mujhe samajhne ki manzil hai muntazir un ki

    yaqini baat hai pagal ki aas pagal hain

    main un se puchhunga jannat hain bechte kaise

    mujhe nawaz agar tere pas pagal hain

    wo apni sadiyon ko tishna-dahan banae gae

    bujha rahe hain jo lamhon ki pyas pagal hain

    hamari waqt se banti to kis tarah banti

    mizaj-e-waqt ko aate hi ras pagal hain

    tumhaare baad siyanon ka haal kya hoga

    tumhaare baad yahan par udas pagal hain

    libas walon se baDh kar haya hai aankhon mein

    hamari aankhon mein kuchh be-libas pagal hain

    tujhe sataenge jab tak teri raza hogi

    hum har tarah se tabiat-shanas pagal hain

    tumhaare ahd ke sau se hain mohtaram 'kazim'

    hamare ahd mein jo ki pachas pagal hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now