hai saman har taraf badalne ko
hai samāñ har taraf badalne ko
dil meñ ḳhvāhish hai ik machalne ko
maiñ ne sochā pasand kā us kī
pairahan the ka.ī badalne ko
kitne armān maar Daale haiñ
koī baaqī nahīñ kuchalne ko
kitnā mushkil amal huā is par
faisla kar liyā sambhalne ko
chhoḌ dūñgā maiñ saath auroñ kā
vo kahegā jo saath chalne ko
us kī chāhat khulī hai ab mujh par
ik khilaunā thā maiñ bahalne ko
hai saman har taraf badalne ko
dil mein KHwahish hai ek machalne ko
main ne socha pasand ka us ki
pairahan the kai badalne ko
kitne arman mar Dale hain
koi baqi nahin kuchalne ko
kitna mushkil amal hua is par
faisla kar liya sambhalne ko
chhoD dunga main sath auron ka
wo kahega jo sath chalne ko
us ki chahat khuli hai ab mujh par
ek khilauna tha main bahalne ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.