hai suna sa magar juda sa lage
hai sunā sā magar judā sā lage
naam us kā hameñ bhalā sā lage
us ko chāhā nahīñ hai samjhā hai
ye riyāz us ko mashġhala sā lage
us kī tohmat meñ hai mohabbat bhī
ho ke patthar bhī aa.ina sā lage
us ke hoñToñ se naam bhī apnā
ek majzūb kī sadā sā lage
ek pal meñ lage vo hai yak-jāñ
dūsre pal meñ dūsrā sā lage
kyoñ na pyaar aa.e aise lahje par
jis meñ ġhussa bhī iltijā sā lage
ham ko samjhe baġhair chāhā thā
us kī ulfat to hādisa sā lage
'ishq ke 'ain se nahīñ vāqif
vo jinheñ 'ishq bad-du'ā sā lage
phir mohabbat to shirk hai us se
aadmī ho ke jo ḳhudā sā lage
hai suna sa magar juda sa lage
nam us ka hamein bhala sa lage
us ko chaha nahin hai samjha hai
ye riyaz us ko mashghala sa lage
us ki tohmat mein hai mohabbat bhi
ho ke patthar bhi aaina sa lage
us ke honTon se nam bhi apna
ek majzub ki sada sa lage
ek pal mein lage wo hai yak-jaan
dusre pal mein dusra sa lage
kyon na pyar aae aise lahje par
jis mein ghussa bhi iltija sa lage
hum ko samjhe baghair chaha tha
us ki ulfat to hadisa sa lage
'ishq ke 'ain se nahin waqif
wo jinhen 'ishq bad-du'a sa lage
phir mohabbat to shirk hai us se
aadmi ho ke jo KHuda sa lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.