Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai to pagDanDi nazar mein moatabar alfaz ki

Akhilesh Tiwari

hai to pagDanDi nazar mein moatabar alfaz ki

Akhilesh Tiwari

MORE BYAkhilesh Tiwari

    hai to pagDanDī nazar meñ mo'atabar alfāz

    le ke jā.egī kahāñ tak rahguzar alfāz

    is se aage sirf to hai aur ma.ānī tilism

    ab koī hikmat na hogī kārgar alfāz

    kis galī meñ chhoḌ kar ruḳhsat huī parchhā.iyāñ

    maiñ huuñ aur bebas sadā.eñ dar-ba-dar alfāz

    ḳhāmushī ke in hare peḌoñ pe jaane kyā banī

    āriyāñ chaltī sunī haiñ raat bhar alfāz

    aur ik jazbe ne kāġhaz par abhī toḌā hai dam

    rah ga.iiñ sab koshisheñ phir be-asar alfāz

    tum ne jo pichhlī rutoñ meñ bo diye the harf kuchh

    fasl ug aa.ī hai dekho bā-samar alfāz

    hosh vāloñ ne use āḳhir mohazzab kar diyā

    vo jo be-ḳhabarī thī laatī thī ḳhabar alfāz

    jism se bāhar nikal aa.ī numā.ish ke liye

    ḳhud-numā.ī havas thī kis qadar alfāz

    hai to pagDanDi nazar mein mo'atabar alfaz ki

    le ke jaegi kahan tak rahguzar alfaz ki

    is se aage sirf to hai aur maani ka tilism

    ab koi hikmat na hogi kargar alfaz ki

    kis gali mein chhoD kar ruKHsat hui parchhaiyan

    main hun aur bebas sadaen dar-ba-dar alfaz ki

    KHamushi ke in hare peDon pe jaane kya bani

    aariyan chalti suni hain raat bhar alfaz ki

    aur ek jazbe ne kaghaz par abhi toDa hai dam

    rah gain sab koshishen phir be-asar alfaz ki

    tum ne jo pichhli ruton mein bo diye the harf kuchh

    fasl ug aai hai dekho ba-samar alfaz ki

    hosh walon ne use aaKHir mohazzab kar diya

    wo jo be-KHabari thi lati thi KHabar alfaz ki

    jism se bahar nikal aai numaish ke liye

    KHud-numai ki hawas thi kis qadar alfaz ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now