Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai wahi manzar-e-KHun-rang jahan tak dekhun

Rakhshan Hashmi

hai wahi manzar-e-KHun-rang jahan tak dekhun

Rakhshan Hashmi

MORE BYRakhshan Hashmi

    hai vahī manzar-e-ḳhūñ-rañg jahāñ tak dekhūñ

    maiñ faqat ek tasvīr kahāñ tak dekhūñ

    niiñd TuuTī hai mire ḳhvāb kahāñ TuuTe haiñ

    aks terā haqīqat se gumāñ tak dekhūñ

    itnī vus.at se mirī qalb-o-nazar ko maulā

    aañkh sahrā pe dharūñ āb-e-ravāñ tak dekhūñ

    rut koī aa.e kabhī phuul khilāne vaalī

    kab talak aag har ik sahn-o-makāñ tak dekhūñ

    aa.ina hote hue apnā uruuj aur zavāl

    matla.a-e-sub.h se maġhrib azaañ tak dekhūñ

    baad allāh ke vo hai mirī shah-rag ke qarīb

    kab mire dil sadā jaatī hai maañ tak dekhūñ

    dil dahlīz se lauT gayā vo 'raḳhshāñ'

    chāhtī thī maiñ jise jism se jaañ tak dekhūñ

    hai wahi manzar-e-KHun-rang jahan tak dekhun

    main faqat ek hi taswir kahan tak dekhun

    nind TuTi hai mere KHwab kahan TuTe hain

    aks tera hi haqiqat se guman tak dekhun

    itni wusat se meri qalb-o-nazar ko maula

    aankh sahra pe dharun aab-e-rawan tak dekhun

    rut koi aae kabhi phul khilane wali

    kab talak aag har ek sahn-o-makan tak dekhun

    aaina hote hue apna uruj aur zawal

    matla-e-subh se maghrib ki azan tak dekhun

    baad allah ke wo hai meri shah-rag ke qarib

    kab mere dil ki sada jati hai man tak dekhun

    dil ki dahliz hi se lauT gaya wo 'raKHshan'

    chahti thi main jise jism se jaan tak dekhun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now