Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai yaqinan ye koi raaz-e-mashiyyat warna

Inam Sharar Ayyubi

hai yaqinan ye koi raaz-e-mashiyyat warna

Inam Sharar Ayyubi

MORE BYInam Sharar Ayyubi

    hai yaqīnan ye koī rāz-e-mashiyyat varna

    log karte nahīñ shahr se hijrat varna

    us nafrat diyā ham ne mohabbat se javāb

    kam na thī ḳhuun meñ kuchh apne bhī hiddat varna

    tujh ko dekhā to yaqīñ ho gayā ai mast-e-ḳhirām

    dekhtā aañkh se kaun apnī qayāmat varna

    ḳhuun meñ sab ke hai qābīl ke ḳhuuñ unsur

    nasl-e-ādam ke liye vaj.h-e-halākat varna

    ai 'sharar' maiñ ne sūraj se milā.ī āñkheñ

    kis ne mere sivā aisī jasārat varna

    hai yaqinan ye koi raaz-e-mashiyyat warna

    log karte hi nahin shahr se hijrat warna

    us ki nafrat ka diya hum ne mohabbat se jawab

    kam na thi KHun mein kuchh apne bhi hiddat warna

    tujh ko dekha to yaqin ho gaya ai mast-e-KHiram

    dekhta aankh se kaun apni qayamat warna

    KHun mein sab ke hai qabil ke KHun ka unsur

    nasl-e-adam ke liye wajh-e-halakat warna

    ai 'sharar' main ne hi suraj se milai aankhen

    kis ne ki mere siwa aisi jasarat warna

    Source:

    Harf Harf Sharar (Pg. 36)

    • Author: Inam Sharar Ayyubi
      • Publisher: Moazzam Ali
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now