hai yurish-e-gham dil par dil kushta-e-gham tanha
hai yūrish-e-ġham dil par dil kushta-e-ġham tanhā
ik tum hī nahīñ dil par mā.il-ba-karam tanhā
tālib na kabhī hoñge ham tum se ujāloñ ke
zulmat-kada-e-ġham meñ mar jā.eñge ham tanhā
sau naqsh ubharte haiñ maazī ke mire dil par
ik lafz-e-mohabbat jab kartā huuñ raqam tanhā
har chiiz kī qīmat hai ai dost zamāne meñ
hai sirf mohabbat hī be-dām-o-diram tanhā
auroñ pe to un ke haiñ altāf-o-karam paiham
'ambar' haiñ zamāne meñ ham vaqf-e-alam tanhā
hai yurish-e-gham dil par dil kushta-e-gham tanha
ek tum hi nahin dil par mail-ba-karam tanha
talib na kabhi honge hum tum se ujalon ke
zulmat-kada-e-gham mein mar jaenge hum tanha
sau naqsh ubharte hain mazi ke mere dil par
ek lafz-e-mohabbat jab karta hun raqam tanha
har chiz ki qimat hai ai dost zamane mein
hai sirf mohabbat hi be-dam-o-diram tanha
auron pe to un ke hain altaf-o-karam paiham
'ambar' hain zamane mein hum waqf-e-alam tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.