Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haibat-e-husn se alfaz ki hairani tak

Shoaib Nizam

haibat-e-husn se alfaz ki hairani tak

Shoaib Nizam

MORE BYShoaib Nizam

    haibat-e-husn se alfāz hairānī tak

    baat pahuñchī thī abhī chāñd peshānī tak

    aap kyā dirham-o-dīnār liye phirte haiñ

    ham to Thukrā bhī chuke taḳht-e-sulaimānī tak

    vasl ke qisse to tamhīd haiñ sunte rahiye

    baat pahuñchegī abhī quvvat-e-īmānī tak

    qissa-e-rafta mukammal nahīñ hogā varna

    zikr jaarī rahe aqdār arzānī tak

    aap mohsin haiñ magar khel majbūrī hai

    dil to aatā nahīñ raah meñ sultānī tak

    us ne kuchh soch ke sahrā taraf moḌ diyā

    pyaas bas pahuñchne vaalī thī abhī paanī tak

    daf.atan vaqt ne raftār baḌhā varna

    bhāgtā maiñ bhī rahā ik had-e-imkānī tak

    haibat-e-husn se alfaz ki hairani tak

    baat pahunchi thi abhi chand ki peshani tak

    aap kya dirham-o-dinar liye phirte hain

    hum to Thukra bhi chuke taKHt-e-sulaimani tak

    wasl ke qisse to tamhid hain sunte rahiye

    baat pahunchegi abhi quwwat-e-imani tak

    qissa-e-rafta mukammal nahin hoga warna

    zikr jari rahe aqdar ki arzani tak

    aap mohsin hain magar khel ki majburi hai

    dil to aata hi nahin rah mein sultani tak

    us ne kuchh soch ke sahra ki taraf moD diya

    pyas bas pahunchne wali thi abhi pani tak

    dafatan waqt ne raftar baDha di warna

    bhagta main bhi raha ek had-e-imkani tak

    Source:

    Aks e Gumgushta (Pg. 21)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now