haidar tumhaara zauq-e-tamanna tha kya hua
'haidar' tumhārā zauq-e-tamannā thā kyā huā
tum pe bhī ek jism to utrā thā kyā huā
miltī hai zindagī to yahī pūchhtī hai bas
vo ḳhud-kushī kā ḳhvāb jo dekhā thā kyā huā
sar āñkhoñ par hai terī nasīhat magar ai dost
tū ne bhī ek shaḳhs ko chāhā thā kyā huā
ik maslahat hai parda-garī itnī zid na kar
muusā aḌe the zid pe to dekhā thā kyā huā
maiñ bad-havās rahne lagā thā tumhāre baa'd
kuchh saal to samajh hī na aayā thā kyā huā
'haidar' tumhaara zauq-e-tamanna tha kya hua
tum pe bhi ek jism to utra tha kya hua
milti hai zindagi to yahi puchhti hai bas
wo KHud-kushi ka KHwab jo dekha tha kya hua
sar aankhon par hai teri nasihat magar ai dost
tu ne bhi ek shaKHs ko chaha tha kya hua
ek maslahat hai parda-gari itni zid na kar
musa aDe the zid pe to dekha tha kya hua
main bad-hawas rahne laga tha tumhaare ba'd
kuchh sal to samajh hi na aaya tha kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.