aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hain ajnabi raston ke manzar shanasa koi Dagar nahin hai

Meena Naqvi

hain ajnabi raston ke manzar shanasa koi Dagar nahin hai

Meena Naqvi

MORE BYMeena Naqvi

    haiñ ajnabī rāstoñ ke manzar shanāsā koī Dagar nahīñ hai

    qadam qadam par sa.ūbateñ haiñ safar to hai ham-safar nahīñ hai

    chaman ke shaidā.iyoñ se ik din savāl ye pūchhnā hai mujh ko

    khilā jo pur-ḳhār jañgaloñ meñ vo phuul kyuuñ mo'atabar nahīñ hai

    maiñ band āñkhoñ ke ā.inoñ meñ tumhārī aamad muntazir huuñ

    chale bhī aao mirī mohabbat rāsta pur-ḳhatar nahīñ hai

    tumhārī ḳhushbū churā rahī huuñ misāl-e-bād-e-sahar maiñ lekin

    nigāh sūraj chubh rahī hai tumheñ ye shāyad ḳhabar nahīñ hai

    ye ġhazleñ nazmeñ ye dil ke jazbe ye mahke mahke ḳhayāl saare

    sajā rahī huuñ maiñ lafz apne kisī mujh par nazar nahīñ hai

    hain ajnabi raston ke manzar shanasa koi Dagar nahin hai

    qadam qadam par saubaten hain safar to hai ham-safar nahin hai

    chaman ke shaidaiyon se ek din sawal ye puchhna hai mujh ko

    khila jo pur-KHar jangalon mein wo phul kyun mo'atabar nahin hai

    main band aankhon ke aainon mein tumhaari aamad ki muntazir hun

    chale bhi aao meri mohabbat ka rasta pur-KHatar nahin hai

    tumhaari KHushbu chura rahi hun misal-e-baad-e-sahar main lekin

    nigah suraj ki chubh rahi hai tumhein ye shayad KHabar nahin hai

    ye ghazlen nazmen ye dil ke jazbe ye mahke mahke KHayal sare

    saja rahi hun main lafz apne kisi ki mujh par nazar nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now