Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hain kachchi basti ke log sada magar wahan ke makin tauba

Asad Raza Sahar

hain kachchi basti ke log sada magar wahan ke makin tauba

Asad Raza Sahar

MORE BYAsad Raza Sahar

    haiñ kachchī bastī ke log saada magar vahāñ ke makīn tauba

    adam-tavajjoh bheñT chaḌh ke gharoñ meñ baiThe hasīn tauba

    vo jis ḳhātir tamām bhaa.ī nishān-e-ibrat bane hue haiñ

    paḌī hai vaise vaise dekho vahāñ pe saarī zamīn tauba

    girā ke ka.aba-e-dīn karbal ke dasht meñ be-hayā kahīñ ke

    vo dekho rūThe khaḌe haiñ in.aam ke liye sab la.iin tauba

    sunā hai ab tak ye kaalā dhanda tirā vatīra banā rahā hai

    na-jāne kaise chamak rahī hai ye terī sāhab jabīn tauba

    guzarne lagtā huuñ jab bhī mujh ko ajab nigāhoñ se dekhte haiñ

    tirī galī ke tamām baasī sharīr shātir zahīn tauba

    jo ek din meñ ka.ī ka.ī baar jhuuT aasrā hai letā

    maiñ us farebī pe kaise kar luuñ 'sahar' andhā yaqīn tauba

    hain kachchi basti ke log sada magar wahan ke makin tauba

    adam-tawajjoh ki bhenT chaDh ke gharon mein baiThe hasin tauba

    wo jis ki KHatir tamam bhai nishan-e-ibrat bane hue hain

    paDi hai waise ki waise dekho wahan pe sari zamin tauba

    gira ke kaba-e-din karbal ke dasht mein be-haya kahin ke

    wo dekho ruThe khaDe hain inam ke liye sab lain tauba

    suna hai ab tak ye kala dhanda tera watira bana raha hai

    na-jaane kaise chamak rahi hai ye teri sahab jabin tauba

    guzarne lagta hun jab bhi mujh ko ajab nigahon se dekhte hain

    teri gali ke tamam basi sharir shatir zahin tauba

    jo ek din mein kai kai bar jhuT ka aasra hai leta

    main us farebi pe kaise kar lun 'sahar' ji andha yaqin tauba

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now