hain kis liye udas koi puchhta nahin

Vishvanath Dard

hain kis liye udas koi puchhta nahin

Vishvanath Dard

MORE BYVishvanath Dard

  haiñ kis liye udaas koī pūchhtā nahīñ

  rasta ḳhud apne ghar hameñ sūjhtā nahīñ

  naqsh-e-vafā kisī koī DhūñDhtā nahīñ

  ahl-e-vafā phir bhī bharam TūTtā nahīñ

  ahl-e-hunar baat thī ahl-e-nazar ke saath

  ab to koī bhī un taraf dekhtā nahīñ

  ham se huī ḳhatā to burā mānte ho kyuuñ

  ham bhī to aadmī haiñ koī devtā nahīñ

  dāman tumhārā haath se jaatā rahā magar

  ik rishta-e-ḳhayāl hai ki TūTtā nahīñ

  sūraj ke nuur par bhī añdheroñ raaj hai

  ai 'dard' duur tak mujhe kuchh sūjhtā nahīñ

  hain kis liye udas koi puchhta nahin

  rasta KHud apne ghar ka hamein sujhta nahin

  naqsh-e-wafa kisi ka koi DhunDhta nahin

  ahl-e-wafa ka phir bhi bharam TuTta nahin

  ahl-e-hunar ki baat thi ahl-e-nazar ke sath

  ab to koi bhi un ki taraf dekhta nahin

  hum se hui KHata to bura mante ho kyun

  hum bhi to aadmi hain koi dewta nahin

  daman tumhaara hath se jata raha magar

  ek rishta-e-KHayal hai ki TuTta nahin

  suraj ke nur par bhi andheron ka raj hai

  ai 'dard' dur tak mujhe kuchh sujhta nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY