hain sach ya jhuT ke rishte kabhi na dekh sake
haiñ sach yā jhuuT ke rishte kabhī na dekh sake
naqāb meñ chhupe chehre kabhī na dekh sake
ye nā-ḳhushī se vasiyyat ko dekhne vaale
pitā ke haath ke chhāle kabhī na dekh sake
tumhāre 'ishq ke sapne hazār dekhe par
tumhārā haath pakaḌ kar kabhī na dekh sake
yuuñ dekhne ko to nafrat ke shahr dekhe haiñ
jahāñ meñ pyaar ke qasbe kabhī na dekh sake
kisī faqīr se sabr-o-sukūñ ḳharīd sakeñ
ham itne aaj bhī paise kabhī na dekh sake
qafas meñ qaid parinde udaas baiThe haiñ
ki āsmān meñ uḌ kar kabhī na dekh sake
hain sach ya jhuT ke rishte kabhi na dekh sake
naqab mein chhupe chehre kabhi na dekh sake
ye na-KHushi se wasiyyat ko dekhne wale
pita ke hath ke chhaale kabhi na dekh sake
tumhaare 'ishq ke sapne hazar dekhe par
tumhaara hath pakaD kar kabhi na dekh sake
yun dekhne ko to nafrat ke shahr dekhe hain
jahan mein pyar ke qasbe kabhi na dekh sake
kisi faqir se sabr-o-sukun KHarid saken
hum itne aaj bhi paise kabhi na dekh sake
qafas mein qaid parinde udas baiThe hain
ki aasman mein uD kar kabhi na dekh sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.