hain sehar-e-musawwir mein qayamat nahin karte
haiñ sehr-e-musavvir meñ qayāmat nahīñ karte
rañgoñ se nikalne kī jasārat nahīñ karte
afsos ke jañgal meñ bhaTakte haiñ ḳhayālāt
ram bhuul ga.e ḳhauf se vahshat nahīñ karte
tum aur kisī ke ho to ham aur kisī ke
aur donoñ hī qismat kī shikāyat nahīñ karte
muddat huī ik shaḳhs ne dil toḌ diyā thā
is vāste apnoñ se mohabbat nahīñ karte
ye kah ke hameñ chhoḌ ga.ī raushnī ik raat
tum apne charāġhoñ kī hifāzat nahīñ karte
hain sehr-e-musawwir mein qayamat nahin karte
rangon se nikalne ki jasarat nahin karte
afsos ke jangal mein bhaTakte hain KHayalat
ram bhul gae KHauf se wahshat nahin karte
tum aur kisi ke ho to hum aur kisi ke
aur donon hi qismat ki shikayat nahin karte
muddat hui ek shaKHs ne dil toD diya tha
is waste apnon se mohabbat nahin karte
ye kah ke hamein chhoD gai raushni ek raat
tum apne charaghon ki hifazat nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.