hairan hun main dekh ke parwardigar kyon
hairān huuñ maiñ dekh ke parvardigār kyoñ
ḳhuuñ ro rahā hai aaj dil-e-dāġh-dār kyoñ
aao yahāñ pe baiTho mujhe ye javāb do
tabdīl ho gayā hai 'adāvat meñ pyaar kyoñ
terī tarah karegī mujhe ye bhī munhadim
taḌpā rahī hai yaad tirī bār-bār kyoñ
vā'da kiyā thā phir bhī na aa.e na ā.eñge
ai ḳhvāb-ḳhvāb chashm 'abas intizār kyoñ
'āfī' jab un se koī ta'alluq nahīñ rahā
hotā hai un ke naam pe dil be-qarār kyoñ
hairan hun main dekh ke parwardigar kyon
KHun ro raha hai aaj dil-e-dagh-dar kyon
aao yahan pe baiTho mujhe ye jawab do
tabdil ho gaya hai 'adawat mein pyar kyon
teri tarah karegi mujhe ye bhi munhadim
taDpa rahi hai yaad teri bar-bar kyon
wa'da kiya tha phir bhi na aae na aaenge
ai KHwab-KHwab chashm 'abas intizar kyon
'afi' jab un se koi ta'alluq nahin raha
hota hai un ke nam pe dil be-qarar kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.