Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hairat hai jinhen meri taraqqi pe jalan bhi

Pawan Kumar

hairat hai jinhen meri taraqqi pe jalan bhi

Pawan Kumar

MORE BYPawan Kumar

    hairat hai jinheñ merī taraqqī pe jalan bhī

    haiñ un meñ na.e dost bhī yārān-e-kuhan bhī

    hotī thī kabhī mahfil-e-ahbāb meñ raunaq

    taarī hai vahāñ ab to udāsī bhī ghuTan bhī

    saath us nibhātā huuñ to ye merā hunar hai

    vo shaḳhs ba-yak-vaqt hai paanī bhī agan bhī

    hañste hue chehre pe bhī aatī hai udāsī

    hai chāñd taqdīr meñ thoḌā gahan bhī

    is rāh-e-mohabbat hai itnī kahānī

    is raah meñ aa.e haiñ bayābāñ bhī chaman bhī

    manzil ke liye mujh ko mile haiñ jo sharāre

    shāmil hai unhīñ meñ mire pairoñ thakan bhī

    be-nām se kuchh dard yahāñ Thahre hue haiñ

    hai ek sarā.e tarah apnā badan bhī

    ab tark-e-ta.alluq asar donoñ taraf hai

    sharminda jo hai to pashemāñ hai 'pavan' bhī

    hairat hai jinhen meri taraqqi pe jalan bhi

    hain un mein nae dost bhi yaran-e-kuhan bhi

    hoti thi kabhi mahfil-e-ahbab mein raunaq

    tari hai wahan ab to udasi bhi ghuTan bhi

    sath us ka nibhata hun to ye mera hunar hai

    wo shaKHs ba-yak-waqt hai pani bhi agan bhi

    hanste hue chehre pe bhi aati hai udasi

    hai chand ki taqdir mein thoDa sa gahan bhi

    is rah-e-mohabbat ki hai itni si kahani

    is rah mein aae hain bayaban bhi chaman bhi

    manzil ke liye mujh ko mile hain jo sharare

    shamil hai unhin mein mere pairon ki thakan bhi

    be-nam se kuchh dard yahan Thahre hue hain

    hai ek sarae ki tarah apna badan bhi

    ab tark-e-talluq ka asar donon taraf hai

    sharminda jo tu hai to pasheman hai 'pawan' bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now