Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hairat se dekhti hai darichon ki saf yahan

Javed Nasir

hairat se dekhti hai darichon ki saf yahan

Javed Nasir

MORE BYJaved Nasir

    hairat se dekhtī hai darīchoñ saf yahāñ

    bante haiñ jān-būjh ke saa.e hadaf yahāñ

    kin kin ātmā.eñ pahāḌoñ meñ qaid haiñ

    āvāz do to bajte haiñ patthar ke daf yahāñ

    chhantī hai jañgaloñ meñ daraḳhtoñ se raushnī

    dhabbe haiñ kaise dhuup ke chāroñ taraf yahāñ

    uTh uTh ke āsmāñ ko batātī hai dhuul kyuuñ

    miTTī meñ dafn ho ga.e kitne sadaf yahāñ

    ġhussa thā jaane kaun sadiyoñ un ke paas

    āñkhoñ se ab bhī bahtā hai ḳhvāboñ kaf yahāñ

    hairat se dekhti hai darichon ki saf yahan

    bante hain jaan-bujh ke sae hadaf yahan

    kin kin ki aatmaen pahaDon mein qaid hain

    aawaz do to bajte hain patthar ke daf yahan

    chhanti hai jangalon mein daraKHton se raushni

    dhabbe hain kaise dhup ke chaaron taraf yahan

    uTh uTh ke aasman ko batati hai dhul kyun

    miTTi mein dafn ho gae kitne sadaf yahan

    ghussa tha jaane kaun si sadiyon ka un ke pas

    aankhon se ab bhi bahta hai KHwabon ka kaf yahan

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    hairat se dekhti hai darichon ki saf yahan Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now