Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum aadam-zad jo hain roz-e-awwal se kami hai ye

Mohammad Aazam

hum aadam-zad jo hain roz-e-awwal se kami hai ye

Mohammad Aazam

MORE BYMohammad Aazam

    ham ādam-zād jo haiñ roz-e-avval se kamī hai ye

    ki jo hai maut us ko jānte haiñ zindagī hai ye

    jo manzar hai so aa kar muḳhtalif hai sab ā.ankhoñ meñ

    phir āñkheñ dekhtī haiñ kyā tamāshā dīdanī hai ye

    yahāñ dasht-e-talab meñ ek maiñ huuñ aur sivā mere

    sarāboñ ko nichoḌe rahī ik tishnagī hai ye

    añdhere dil ne thī aarzū us ke ujāloñ

    mirī āñkheñ chhīne le rahā hai raushnī hai ye

    us ik be-mehr se tark-e-ta.alluq par nadāmat kyā

    gavārā kar liye kaise sitam sharmindagī hai ye

    bahut dekhā hai tum ne husn-e-sannā.ī magar us ko

    jo dekho to kahoge vāh-vā barjastagī hai ye

    kashish mardum ye hai numūd-e-najm-e-asvad hai

    vafūr-e-nūr hai intihā-e-tīrgī hai ye

    musāfir dā.ere ke ham gumān-e-istaqāmat meñ

    bahut aage nikal aa.e haiñ ya.anī vāpsī hai ye

    hum aadam-zad jo hain roz-e-awwal se kami hai ye

    ki jo hai maut us ko jaante hain zindagi hai ye

    jo manzar hai so aa kar muKHtalif hai sab ki aaankhon mein

    phir aankhen dekhti hain kya tamasha didani hai ye

    yahan dasht-e-talab mein ek main hun aur siwa mere

    sarabon ko nichoDe ja rahi ek tishnagi hai ye

    andhere dil ne ki thi aarzu us ke ujalon ki

    meri aankhen hi chhine le raha hai raushni hai ye

    us ek be-mehr se tark-e-talluq par nadamat kya

    gawara kar liye kaise sitam sharmindagi hai ye

    bahut dekha hai tum ne husn-e-sannai magar us ko

    jo dekho to kahoge wah-wa barjastagi hai ye

    kashish mardum ki ye hai ya numud-e-najm-e-aswad hai

    wafur-e-nur hai ya intiha-e-tirgi hai ye

    musafir daere ke hum guman-e-istaqamat mein

    bahut aage nikal aae hain yani wapsi hai ye

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mohammad Aazam

    Mohammad Aazam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now