Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum apne-ap pe bhi zahir kabhi dil ka haal nahin karte

Wali Aasi

hum apne-ap pe bhi zahir kabhi dil ka haal nahin karte

Wali Aasi

MORE BYWali Aasi

    ham apne-āp pe bhī zāhir kabhī dil haal nahīñ karte

    chup rahte haiñ dukh sahte haiñ koī ranj-o-malāl nahīñ karte

    ham jo kuchh haiñ ham jaise haiñ vaise dikhā.ī dete haiñ

    chehre pe bhabhūt nahīñ malte kabhī kaale baal nahīñ karte

    ham haar ga.e tum jiit ga.e ham ne khoyā tum ne paayā

    in chhoTī chhoTī bātoñ ham koī ḳhayāl nahīñ karte

    tere dīvāne ho jaate kahīñ sahrāoñ meñ kho jaate

    dīvār-o-dar meñ qaid hameñ agar ahl-o-ayāl nahīñ karte

    tirī marzī par ham raazī haiñ jo chāhe so ham chāheñ

    ham hijr fikr nahīñ karte ham zikr-e-visāl nahīñ karte

    hameñ tere sivā is duniyā meñ kisī aur se kyā lenā-denā

    ham sab ko javāb nahīñ dete ham sab se savāl nahīñ karte

    ġhazloñ meñ hamārī boltā hai vahī kānoñ meñ ras gholtā hai

    vahī band kivāḌe kholtā hai ham koī kamāl nahīñ karte

    hum apne-ap pe bhi zahir kabhi dil ka haal nahin karte

    chup rahte hain dukh sahte hain koi ranj-o-malal nahin karte

    hum jo kuchh hain hum jaise hain waise hi dikhai dete hain

    chehre pe bhabhut nahin malte kabhi kale baal nahin karte

    hum haar gae tum jit gae hum ne khoya tum ne paya

    in chhoTi chhoTi baaton ka hum koi KHayal nahin karte

    tere diwane ho jate kahin sahraon mein kho jate

    diwar-o-dar mein qaid hamein agar ahl-o-ayal nahin karte

    teri marzi par hum raazi hain jo tu chahe so hum chahen

    hum hijr ki fikr nahin karte hum zikr-e-visal nahin karte

    hamein tere siwa is duniya mein kisi aur se kya lena-dena

    hum sab ko jawab nahin dete hum sab se sawal nahin karte

    ghazlon mein hamari bolta hai wahi kanon mein ras gholta hai

    wahi band kiwaDe kholta hai hum koi kamal nahin karte

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Wali Aasi

    Wali Aasi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    hum apne-ap pe bhi zahir kabhi dil ka haal nahin karte Nomaan Shauque

    Source:

    Mom (Pg. 21)

    • Author: valii aasii
      • Edition: 2006
      • Publisher: kitabi duniya 1955, Gali Nawab Mirza, Moh. Qabristan, Opp.Anglo Arabic School, Turkman Gate, delhi-6
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now