hum apne sher mein kuchh pahlu-e-zam Dal dete hain
ham apne she'r meñ kuchh pahlū-e-zam Daal dete haiñ
koī Toke to zam meñ aur bhī dam Daal dete haiñ
bahut ūñche suroñ meñ boltā hai jab koī ham se
to ham ūñche suroñ meñ apnā maddham Daal dete haiñ
sulajhne hī na deñge ham kabhī us zulf-e-sarkash ko
sulajhne par jab aatī hai to phir ḳham Daal dete haiñ
hamāre zaḳhm marham ko samajhte haiñ ġhizā apnī
so ham zaḳhmoñ ke aage rizq-e-marham Daal dete haiñ
hum apne she'r mein kuchh pahlu-e-zam Dal dete hain
koi Toke to zam mein aur bhi dam Dal dete hain
bahut unche suron mein bolta hai jab koi hum se
to hum unche suron mein apna maddham Dal dete hain
sulajhne hi na denge hum kabhi us zulf-e-sarkash ko
sulajhne par jab aati hai to phir KHam Dal dete hain
hamare zaKHm marham ko samajhte hain ghiza apni
so hum zaKHmon ke aage rizq-e-marham Dal dete hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 128)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.