Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum apni kahani bhul gae hum apna fasana bhul gae

Samia Naseem

hum apni kahani bhul gae hum apna fasana bhul gae

Samia Naseem

MORE BYSamia Naseem

    ham apnī kahānī bhuul ga.e ham apnā fasānā bhuul ga.e

    aisā ye zamāna rañg laayā ham hañsnā-hañsānā bhuul ga.e

    bulbul chahaknā yaad rahā phūloñ mahaknā yaad rahā

    apnī haqīqat yaad nahīñ apnā tarānā bhuul ga.e

    mai-ḳhāne rāteñ yaad aa.iiñ but-ḳhāne bāteñ yaad aa.iiñ

    pahuñche jo haram chaukhaT par sar apnā jhukānā bhuul ga.e

    ye zulm-o-sitam ke matvāle insāf da.avā karte haiñ

    deñ kis ko sazā hai kis ḳhatā ye ahl-e-zamāna bhuul ga.e

    āġhāz-e-jafā talḳhī se ghabrānā bhī ik nādānī hai

    un par bhī koī vaqt aa.egā vo apnā zamāna bhuul ga.e

    saaqī hai judā maiḳhāne se sāġhar hai judā paimāne se

    hastī ke talātum meñ phañs kar sab pīnā-pilānā bhuul ga.e

    ulfat qasam is duniyā meñ ab koī kisī bhī na rahā

    begānoñ shikva kyā kiije apne apnānā bhuul ga.e

    hai sham.a ḳhafā parvāne se sāġhar hai ḳhajil paimāne se

    uThtā hai dhuāñ maiḳhāne se sab pīnā-pilānā bhuul ga.e

    ik sāz-e-shikasta le ke 'nasīm' us gulshan meñ kyā jaa.eñ ki ham

    bulbul ko rulānā bhuul ga.e phūloñ ko hañsānā bhuul ga.e

    hum apni kahani bhul gae hum apna fasana bhul gae

    aisa ye zamana rang laya hum hansna-hansana bhul gae

    bulbul ka chahakna yaad raha phulon ka mahakna yaad raha

    apni hi haqiqat yaad nahin apna hi tarana bhul gae

    mai-KHane ki raaten yaad aain but-KHane ki baaten yaad aain

    pahunche jo haram ki chaukhaT par sar apna jhukana bhul gae

    ye zulm-o-sitam ke matwale insaf ka dawa karte hain

    den kis ko saza hai kis ki KHata ye ahl-e-zamana bhul gae

    aaghaz-e-jafa ki talKHi se ghabrana bhi ek nadani hai

    un par bhi koi waqt aaega wo apna zamana bhul gae

    saqi hai juda maiKHane se saghar hai juda paimane se

    hasti ke talatum mein phans kar sab pina-pilana bhul gae

    ulfat ki qasam is duniya mein ab koi kisi ka bhi na raha

    beganon ka shikwa kya kije apne apnana bhul gae

    hai shama KHafa parwane se saghar hai KHajil paimane se

    uThta hai dhuan maiKHane se sab pina-pilana bhul gae

    ek saz-e-shikasta le ke 'nasim' us gulshan mein kya jaen ki hum

    bulbul ko rulana bhul gae phulon ko hansana bhul gae

    Source:

    Harf-e-dil (Pg. 73)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now