aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte

Mushtaq Sadaf

hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte

Mushtaq Sadaf

MORE BYMushtaq Sadaf

    ham apnī mohabbat tamāshā nahīñ karte

    karte haiñ agar kuchh to dikhāvā nahīñ karte

    ye sach hai ki duniyā ravish Thiik nahīñ hai

    kuchh ham bhī to duniyā ko gavārā nahīñ karte

    ik baar to mehmān baneñ ghar pe hamāre

    ye un se guzārish hai taqāzā nahīñ karte

    duniyā ke jhamele kuchh aise haiñ ki un ko

    ham bhuul to jaate haiñ bhulāyā nahīñ karte

    fardā pe haiñ nazreñ to kabhī haal pe nazreñ

    maazī ko magar muḌ ke bhī dekhā nahīñ karte

    jin meñ ki buzurgoñ koī qadr nahīñ ho

    ham aise gharoñ meñ kabhī rishta nahīñ karte

    bārish ho ki tūfān ho aag jañgal

    ham ghar se nikal jaa.eñ to sochā nahīñ karte

    jo ḳhvāb nazar aatā hai sarsabz zamīñ

    us ḳhvāb ta.abīr batāyā nahīñ karte

    bāzār meñ bikte nahīñ vo log umūman

    rishtoñ jo apne kabhī saudā nahīñ karte

    hum apni mohabbat ka tamasha nahin karte

    karte hain agar kuchh to dikhawa nahin karte

    ye sach hai ki duniya ki rawish Thik nahin hai

    kuchh hum bhi to duniya ko gawara nahin karte

    ek bar to mehman banen ghar pe hamare

    ye un se guzarish hai taqaza nahin karte

    duniya ke jhamele hi kuchh aise hain ki un ko

    hum bhul to jate hain bhulaya nahin karte

    farda pe hain nazren to kabhi haal pe nazren

    mazi ko magar muD ke bhi dekha nahin karte

    jin mein ki buzurgon ki koi qadr nahin ho

    hum aise gharon mein kabhi rishta nahin karte

    barish ho ki tufan ho ya aag ka jangal

    hum ghar se nikal jaen to socha nahin karte

    jo KHwab nazar aata hai sarsabz zamin ka

    us KHwab ki tabir bataya nahin karte

    bazar mein bikte nahin wo log umuman

    rishton ka jo apne kabhi sauda nahin karte

    Source:

    Badal Gai Koi Shai (Pg. 56)

    • Author: Dr. Mushtaque Sadaf
      • Edition: 2012
      • Publisher: Swaraj Prakashan, New Delhi
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now