Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum aur un ke lutf-o-karam muddaton ke baad

Sibtain Shahjahani

hum aur un ke lutf-o-karam muddaton ke baad

Sibtain Shahjahani

MORE BYSibtain Shahjahani

    ham aur un ke lutf-o-karam muddatoñ ke baad

    zulmat huī hai nuur meñ zam muddatoñ ke baad

    ab phir mashām-e-jāñ meñ sabā ḳhirām hai

    kis ne kiyā hai jism pe dam muddatoñ ke baad

    nikle haiñ kis āh-e-sahar-tāb ke tufail

    zulf-e-shab-e-darāz ke ḳham muddatoñ ke baad

    lauTā hai le ke zehn meñ āshob-e-zindagī

    dil ġhazāl sū-e-haram muddatoñ ke baad

    do-chār din baat nahīñ ai hujūm-e-shauq

    miltā hai husn-e-jāh-o-hasham muddatoñ ke baad

    yaḳh-basta fikr yaad āñchoñ se garm hai

    bhaḌkā hai dil meñ sho.ala-e-ġham muddatoñ ke baad

    'sibtain' shahr-e-ilm-o-adab ke nasīb meñ

    hote haiñ ham se ahl-e-qalam muddatoñ ke baad

    hum aur un ke lutf-o-karam muddaton ke baad

    zulmat hui hai nur mein zam muddaton ke baad

    ab phir masham-e-jaan mein saba ka KHiram hai

    kis ne kiya hai jism pe dam muddaton ke baad

    nikle hain kis ki aah-e-sahar-tab ke tufail

    zulf-e-shab-e-daraaz ke KHam muddaton ke baad

    lauTa hai le ke zehn mein aashob-e-zindagi

    dil ka ghazal su-e-haram muddaton ke baad

    do-chaar din ki baat nahin ai hujum-e-shauq

    milta hai husn-e-jah-o-hasham muddaton ke baad

    yaKH-basta fikr yaad ki aanchon se garm hai

    bhaDka hai dil mein shoala-e-gham muddaton ke baad

    'sibtain' shahr-e-ilm-o-adab ke nasib mein

    hote hain hum se ahl-e-qalam muddaton ke baad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now