hum bhi kya zindagi guzar gae
ham bhī kyā zindagī guzār ga.e
qarz jaise koī utaar ga.e
jin se phūloñ kī thī mujhe ummīd
vo bhī dāman meñ bhar ke ḳhaar ga.e
be-vajah bhī kisī ke kūche meñ
ham ga.e aur bār-bār ga.e
yaaro ham to tumhārī duniyā meñ
be-sukūñ aa.e be-qarār ga.e
baa'z hamdard talḳh-goī se
dil meñ ḳhanjar sā ik utaar ga.e
lamhe ḳhushiyoñ ke bhī mile lekin
ġham ko kuchh aur bhī nikhār ga.e
ruuTh kar kyā ga.e vo ai 'hātif'
jiite jī jaise mujh ko maar ga.e
hum bhi kya zindagi guzar gae
qarz jaise koi utar gae
jin se phulon ki thi mujhe ummid
wo bhi daman mein bhar ke KHar gae
be-wajah bhi kisi ke kuche mein
hum gae aur bar-bar gae
yaro hum to tumhaari duniya mein
be-sukun aae be-qarar gae
ba'z hamdard talKH-goi se
dil mein KHanjar sa ek utar gae
lamhe KHushiyon ke bhi mile lekin
gham ko kuchh aur bhi nikhaar gae
ruTh kar kya gae wo ai 'hatif'
jite ji jaise mujh ko mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.