hum chal diye aur dost hamara nahin aaya
ham chal diye aur dost hamārā nahīñ aayā
kashtī ke ta'āqub meñ kināra nahīñ aayā
pahuñchā baḌe armān liye dasht-e-falak tak
hāthoñ meñ magar ek bhī taarā nahīñ aayā
kyā sāniha guzrā mire rahgīr pe logo
kyoñ ḳhair-ḳhabar ko vo dubāra nahīñ aayā
ham lauT ga.e jaise palaTte haiñ parinde
har-chand kisī dar kā ishāra nahīñ aayā
jab aa.e safar se to rah-e-'ishq meñ 'sarvat'
vo dasht vo bastī vo manāra nahīñ aayā
hum chal diye aur dost hamara nahin aaya
kashti ke ta'aqub mein kinara nahin aaya
pahuncha baDe arman liye dasht-e-falak tak
hathon mein magar ek bhi tara nahin aaya
kya saniha guzra mere rahgir pe logo
kyon KHair-KHabar ko wo dubara nahin aaya
hum lauT gae jaise palaTte hain parinde
har-chand kisi dar ka ishaara nahin aaya
jab aae safar se to rah-e-'ishq mein 'sarwat'
wo dasht wo basti wo manara nahin aaya
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 56)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.