Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum dekhte hain unki taraf bar bar kyun

Fazal Husain Sabir

hum dekhte hain unki taraf bar bar kyun

Fazal Husain Sabir

MORE BYFazal Husain Sabir

    ham dekhte haiñ un taraf baar baar kyuuñ

    apnī nazar pe ham ko nahīñ iḳhtiyār kyuuñ

    vo mujh se pūchhte haiñ ki ho be-qarār kyuuñ

    maiñ un se pūchhtā huuñ ki ho trahdār kyuuñ

    dariyā bahā rahī ai chashm-e-zār kyuuñ

    dam bhar bhī TūTtā nahīñ ashkoñ taar kyuuñ

    tum mujh pe Dhā rahe ho sitam baar baar kyuuñ

    āḳhir rulā rahe ho mujhe zaar zaar kyuuñ

    pazhmurda hote jaate haiñ gulhā-e-dāġh-e-dil

    aatī nahīñ chaman meñ hamāre bahār kyuuñ

    kyā phūñk kar rahegī mire āshiyāne ko

    bijlī lapak rahī hai idhar baar baar kyuuñ

    va.ada va.ada thā na vo aa.e na ā.eñge

    ai chashm-e-ārzū hai tujhe intizār kyuuñ

    apnī nazar se pūchhiye hāl-e-dil-e-hazīñ

    be-iḳhtiyār kyuuñ hai nahīñ iḳhtiyār kyuuñ

    jab terī rahmatoñ nahīñ hai koī shumār

    isyāñ mere hotā hai yārab shumār kyuuñ

    kyā haiñ kisī ke gesu-e-mushkīñ khule hue

    hai gulshan-e-jahāñ fazā itr-bār kyuuñ

    apnī tarah mujhe bhī karegī tamām kyā

    taḌpā rahī hai mujh ko shab-e-intizār kyuuñ

    haiñ yuuñ to trahdār zamāne meñ aur bhī

    lekin hai aap pe zamāna nisār kyuuñ

    zaḳhmī haiñ donoñ kyā tire tīr-e-nigāh ke

    dil meñ ḳhalish hai aur jigar dāġh-dār kyuuñ

    'sābir' zindagī meñ to pūchhā na aap ne

    marne ke ba.ad pūchh rahe haiñ mazār kyuuñ

    hum dekhte hain un ki taraf bar bar kyun

    apni nazar pe hum ko nahin iKHtiyar kyun

    wo mujh se puchhte hain ki ho be-qarar kyun

    main un se puchhta hun ki ho trahdar kyun

    dariya baha rahi tu ai chashm-e-zar kyun

    dam bhar bhi TuTta nahin ashkon ka tar kyun

    tum mujh pe Dha rahe ho sitam bar bar kyun

    aaKHir rula rahe ho mujhe zar zar kyun

    pazhmurda hote jate hain gulha-e-dagh-e-dil

    aati nahin chaman mein hamare bahaar kyun

    kya phunk kar rahegi mere aashiyane ko

    bijli lapak rahi hai idhar bar bar kyun

    wada hi wada tha na wo aae na aaenge

    ai chashm-e-arzu hai tujhe intizar kyun

    apni nazar se puchhiye haal-e-dil-e-hazin

    be-iKHtiyar kyun hai nahin iKHtiyar kyun

    jab teri rahmaton ka nahin hai koi shumar

    isyan ka mere hota hai yarab shumar kyun

    kya hain kisi ke gesu-e-mushkin khule hue

    hai gulshan-e-jahan ki faza itr-bar kyun

    apni tarah mujhe bhi karegi tamam kya

    taDpa rahi hai mujh ko shab-e-intizar kyun

    hain yun to trahdar zamane mein aur bhi

    lekin hai aap hi pe zamana nisar kyun

    zaKHmi hain donon kya tere tir-e-nigah ke

    dil mein KHalish hai aur jigar dagh-dar kyun

    'sabir' ki zindagi mein to puchha na aap ne

    marne ke baad puchh rahe hain mazar kyun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now