Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum dil ki nigahon se jahan dekh rahe hain

Sahar Mahmood

hum dil ki nigahon se jahan dekh rahe hain

Sahar Mahmood

MORE BYSahar Mahmood

    ham dil nigāhoñ se jahāñ dekh rahe haiñ

    vo baat nazar vaale kahāñ dekh rahe haiñ

    jin hāthoñ meñ kal amn parcham thā unhī meñ

    hairat hai ki shamshīr-o-sināñ dekh rahe haiñ

    kyā jāniye kyuuñ sog manzar hai chaman meñ

    ḳhāmosh zabāñ ashk ravāñ dekh rahe haiñ

    āḳhir koī afsos kare bhī to kahāñ tak

    har samt tabāhī samāñ dekh rahe haiñ

    aa.egā dil-o-jāñ bhī luTāne zamāna

    kuchh aaj bhī ulfat nishāñ dekh rahe haiñ

    mumkin hai ḳhirad-mandoñ ko dīvāna banā de

    jo azm mire dil meñ javāñ dekh rahe haiñ

    un se koī ummīd-e-vafā rakhe to kaise

    har baat meñ jo sūd-o-ziyāñ dekh rahe haiñ

    ḳhāmoshī se hal apne masā.il nahīñ hoñge

    kuchh kahiye 'sahar' ahl-e-zabāñ dekh rahe haiñ

    hum dil ki nigahon se jahan dekh rahe hain

    wo baat nazar wale kahan dekh rahe hain

    jin hathon mein kal amn ka parcham tha unhi mein

    hairat hai ki shamshir-o-sinan dekh rahe hain

    kya jaaniye kyun sog ka manzar hai chaman mein

    KHamosh zaban ashk rawan dekh rahe hain

    aaKHir koi afsos kare bhi to kahan tak

    har samt tabahi ka saman dekh rahe hain

    aaega dil-o-jaan bhi luTane ka zamana

    kuchh aaj bhi ulfat ka nishan dekh rahe hain

    mumkin hai KHirad-mandon ko diwana bana de

    jo azm mere dil mein jawan dekh rahe hain

    un se koi ummid-e-wafa rakhe to kaise

    har baat mein jo sud-o-ziyan dekh rahe hain

    KHamoshi se hal apne masail nahin honge

    kuchh kahiye 'sahar' ahl-e-zaban dekh rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now