Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ek umr jale sham-e-rahguzar ki tarah

Ghulam Rabbani Taban

hum ek umr jale sham-e-rahguzar ki tarah

Ghulam Rabbani Taban

MORE BYGhulam Rabbani Taban

    ham ek umr jale sham-e-rahguzar tarah

    ujālā ġhairoñ se kyā māñgte qamar tarah

    kahāñ ke jaib-o-garebāñ jigar bhī chaak hue

    bahār aa.ī qayāmat ke nāma-bar tarah

    karam kaho ki sitam dil-dahī har andāz

    utar utar gayā dil meñ neshtar tarah

    na hādsoñ kamī hai na shorishoñ kamī

    chaman meñ barq bhī paltī hai bāl-o-par tarah

    na-jāne kyuuñ yahāñ vīrāniyāñ barastī haiñ

    sabhī ke ghar haiñ ba-zāhir hamāre ghar tarah

    ḳhudā kare ki sadā kārobār-e-shauq chale

    jo be-niyāz ho manzil se is safar tarah

    bas aur kyā kaheñ rūdād-e-zindagī 'tābāñ'

    chaman meñ ham bhī haiñ ik shāḳh-e-be-samar tarah

    hum ek umr jale sham-e-rahguzar ki tarah

    ujala ghairon se kya mangte qamar ki tarah

    kahan ke jaib-o-gareban jigar bhi chaak hue

    bahaar aai qayamat ke nama-bar ki tarah

    karam kaho ki sitam dil-dahi ka har andaz

    utar utar sa gaya dil mein neshtar ki tarah

    na hadson ki kami hai na shorishon ki kami

    chaman mein barq bhi palti hai baal-o-par ki tarah

    na-jaane kyun yahan viraniyan barasti hain

    sabhi ke ghar hain ba-zahir hamare ghar ki tarah

    KHuda kare ki sada karobar-e-shauq chale

    jo be-niyaz ho manzil se is safar ki tarah

    bas aur kya kahen rudad-e-zindagi 'taban'

    chaman mein hum bhi hain ek shaKH-e-be-samar ki tarah

    Source:

    siip (Magzin) (Pg. 219)

    • Author: Nasiim Durraani
      • Edition: 1979
      • Publisher: Fikr-e-Nau
      • Year of Publication: 39 (quarterly)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now