hum hain asir-e-zulf-e-mohabbat mudam bas
ham haiñ asīr-e-zulf-e-mohabbat mudām bas
hamrāh-e-bū-e-qurb-e-sanam ho ḳhirām bas
piite haiñ jām-e-hosh-o-ḳhirad se ba-yād-e-yār
mashrūb-e-dark-e-mastī-o-asbāb-e-dām bas
sunte haiñ aur sunte raheñge shab-o-sahar
apnā vujūd kar tū ba-gosh-e-payām bas
hai bazm-e-yār yā hai sitam-gāh-e-rozgār
hai ban gayā yahāñ pe 'inādī nizām bas
'āhan' ġharīq-e-harf-o-hikāyāt-e-dil-barāñ
rahtā hai vo hamesha hī yaañ ḳhud-kalām bas
hum hain asir-e-zulf-e-mohabbat mudam bas
hamrah-e-bu-e-qurb-e-sanam ho KHiram bas
pite hain jam-e-hosh-o-KHirad se ba-yaad-e-yar
mashrub-e-dark-e-masti-o-asbab-e-dam bas
sunte hain aur sunte rahenge shab-o-sahar
apna wujud kar tu ba-gosh-e-payam bas
hai bazm-e-yar ya hai sitam-gah-e-rozgar
hai ban gaya yahan pe 'inadi nizam bas
'ahan' ghariq-e-harf-o-hikayat-e-dil-baran
rahta hai wo hamesha hi yan KHud-kalam bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.