hum hain chaDhte hue dariya mein utarne wale
ham haiñ chaḌhte hue dariyā meñ utarne vaale
ham kahāñ tez havāoñ se haiñ Darne vaale
sau daf'a gir ke uThe uTh ke chale haiñ so ham
saḳhtī-e-rāh se hargiz nahīñ Darne vaale
tum na ziddī ho na ḳhud-sar na koī sabr-o-zabt
aise hote haiñ bhalā had se guzarne vaale
lauT kar aa.e koī kuchh to ḳhabar ho ham ko
kis jahāñ ko chale jaate haiñ ye marne vaale
hum hain chaDhte hue dariya mein utarne wale
hum kahan tez hawaon se hain Darne wale
sau daf'a gir ke uThe uTh ke chale hain so hum
saKHti-e-rah se hargiz nahin Darne wale
tum na ziddi ho na KHud-sar na koi sabr-o-zabt
aise hote hain bhala had se guzarne wale
lauT kar aae koi kuchh to KHabar ho hum ko
kis jahan ko chale jate hain ye marne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.