Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum hain manzar siyah aasmanon ka hai

Rajinder Manchanda Bani

hum hain manzar siyah aasmanon ka hai

Rajinder Manchanda Bani

MORE BYRajinder Manchanda Bani

    ham haiñ manzar siyah āsmānoñ hai

    ik itaab aate jaate zamānoñ hai

    ek zahrāb-e-ġham siina siina safar

    ek kirdār sab dāstānoñ hai

    kis musalsal ufuq ke muqābil haiñ ham

    kyā ajab silsila imtihānoñ hai

    phir vahī hai hameñ miTTiyoñ talāsh

    ham haiñ uḌtā safar ab Dhalānoñ hai

    kaun se ma.arke ham ne sar kar liye

    ye nasha hameñ kin takānoñ hai

    ye alag baat vo kuchh batā.e nahīñ

    lekin us ko pata sab ḳhazānoñ hai

    sab chale duur ke pāniyoñ taraf

    kyā nazāra khule bādbānoñ hai

    us nazroñ meñ saare maqāmāt haiñ

    par use shauq andhī uḌānoñ hai

    aao 'bānī' ki ḳhvāja ke dar ko chaleñ

    āstāna hazār āstānoñ hai

    hum hain manzar siyah aasmanon ka hai

    ek itab aate jate zamanon ka hai

    ek zahrab-e-gham sina sina safar

    ek kirdar sab dastanon ka hai

    kis musalsal ufuq ke muqabil hain hum

    kya ajab silsila imtihanon ka hai

    phir wahi hai hamein miTTiyon ki talash

    hum hain uDta safar ab Dhalanon ka hai

    kaun se marke hum ne sar kar liye

    ye nasha sa hamein kin takanon ka hai

    ye alag baat wo kuchh batae nahin

    lekin us ko pata sab KHazanon ka hai

    sab chale dur ke paniyon ki taraf

    kya nazara khule baadbanon ka hai

    us ki nazron mein sare maqamat hain

    par use shauq andhi uDanon ka hai

    aao 'bani' ki KHwaja ke dar ko chalen

    aastana hazar aastanon ka hai

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 148)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now