Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum jahan rahte hain KHwabon ka nagar hai koi

Akbar Haideri Kashmiri

hum jahan rahte hain KHwabon ka nagar hai koi

Akbar Haideri Kashmiri

MORE BYAkbar Haideri Kashmiri

    ham jahāñ rahte haiñ ḳhvāboñ nagar hai koī

    is ḳharābe meñ na dīvār na dar hai koī

    basā thā jo kisī hijr ke sahrā meñ kabhī

    ai havāo kaho is dil ḳhabar hai koī

    sūrat-e-mauj-e-sabā log idhar se guzre

    ye to anjānī havāoñ Dagar hai koī

    hijr-e-dīdār bhī mahrūmī-e-dīdār bhī hijr

    jo kabhī ḳhatm na ho aisā safar hai koī

    maiñ ki andar se pighaltā chalā jaatā huuñ

    mere yaḳh-basta badan meñ bhī sharar hai koī

    ye fazā raas nahīñ dasht-mizājoñ ke liye

    is saman-zār meñ patthar hai na sar hai koī

    jism aur jaañ ye āzār ye mahshar 'akbar'

    kisī andesha-e-bātin asar hai koī

    hum jahan rahte hain KHwabon ka nagar hai koi

    is KHarabe mein na diwar na dar hai koi

    ja basa tha jo kisi hijr ke sahra mein kabhi

    ai hawao kaho is dil ki KHabar hai koi

    surat-e-mauj-e-saba log idhar se guzre

    ye to anjaani hawaon ki Dagar hai koi

    hijr-e-didar bhi mahrumi-e-didar bhi hijr

    jo kabhi KHatm na ho aisa safar hai koi

    main ki andar se pighalta hi chala jata hun

    mere yaKH-basta badan mein bhi sharar hai koi

    ye faza ras nahin dasht-mizajon ke liye

    is saman-zar mein patthar hai na sar hai koi

    jism aur jaan ka ye aazar ye mahshar 'akbar'

    kisi andesha-e-baatin ka asar hai koi

    Source:

    Namuu kii aaG (Pg. 71)

    • Author: Akbar Hayderabadi
      • Edition: 1981
      • Publisher: Sima Publications, New Delhi
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now